Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kya kya sochta rahta hai ye pagal man sajan

Wasif Yar

jaane kya kya sochta rahta hai ye pagal man sajan

Wasif Yar

MORE BYWasif Yar

    jaane kyā kyā sochtā rahtā hai ye pāgal man sājan

    ḳhud ko aksar tujh meñ dekhe merā darpan sājan

    tere mere jaisā honā sab ke bas baat nahīñ

    sach kahte haiñ jo kahte haiñ prem hai pāgalpan sājan

    tujh ko shahroñ meñ khoyā thā lekin ab ummīd nahīñ

    terī tamanna dil meñ le kar phirtā huuñ ban ban sājan

    duniyāñ bhar piiḌā le kar duur kahīñ ham chal dete

    kaash ke tere jaisā hotā apnā bhī dāman sājan

    itnī mamtā itnī karunā itnī sham.a aur itnā prem

    tum kitne dhanvān ho dekho ham kitne nirdhan sājan

    laakh dukhoñ ke parbat TuuTe phir bhī kitnā shītal hai

    kaash ki tere man nirmal hotā merā man sājan

    daulat shohrat tum ko mubārak mujh ko merā harjā.ī

    baag bāġhīche saare tumhāre merā brindavan sājan

    un ko bhalā ham kyā sikhlā.eñ dukh aur sukh paribhāshā

    jin nainoñ meñ aa jaatā hai be-mausam sāvan sājan

    mere dīpak baatī o mere jīvan sāthī

    buḌhāpā javānī merā bachpan sājan

    kal tak dil meñ thī ye tamanna log kaheñ 'vāsif' 'vāsif'

    lekin ab to man kartā hai kahte raheñ sājan sājan

    jaane kya kya sochta rahta hai ye pagal man sajan

    KHud ko aksar tujh mein dekhe tu mera darpan sajan

    tere mere jaisa hona sab ke bas ki baat nahin

    sach kahte hain jo kahte hain prem hai pagalpan sajan

    tujh ko shahron mein khoya tha lekin ab ummid nahin

    teri tamanna dil mein le kar phirta hun ban ban sajan

    duniyan bhar ki piDa le kar dur kahin hum chal dete

    kash ke tere jaisa hota apna bhi daman sajan

    itni mamta itni karuna itni shama aur itna prem

    tum kitne dhanwan ho dekho hum kitne nirdhan sajan

    lakh dukhon ke parbat TuTe phir bhi kitna shital hai

    kash ki tere man sa nirmal hota mera man sajan

    daulat shohrat tum ko mubarak mujh ko mera harjai

    bag baghiche sare tumhaare mera brindawan sajan

    un ko bhala hum kya sikhlaen dukh aur sukh ki paribhasha

    jin nainon mein aa jata hai be-mausam sawan sajan

    tu mere dipak ki baati o mere jiwan sathi

    tu hi buDhapa tu hi jawani tu mera bachpan sajan

    kal tak dil mein thi ye tamanna log kahen 'wasif' 'wasif'

    lekin ab to man karta hai kahte rahen sajan sajan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now