Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya

Waseem Minai

jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya

Waseem Minai

MORE BYWaseem Minai

    jaane kyuuñ bhaa.ī bhaa.ī khul ke dushman ho gayā

    ghar meñ dīvāreñ uThānā ab to fashion ho gayā

    ek muflis ko saḌak par gāliyāñ dene ke ba.ad

    vo samajhtā hai hamārā naam raushan ho gayā

    aaj to aa.e hameñ kis qayādat par yaqīñ

    kal jo apnā rahnumā thā aaj rahzan ho gayā

    dekh kar bachchoñ ko bhī ab yaad aatā nahīñ

    mahv kuchh aisā hamāre dil se bachpan ho gayā

    chhāte chhāte chhā ga.ī fasl-e-bahārāñ par ḳhizāñ

    dekhte dekhte pāmāl gulshan ho gayā

    maiñ ne to haq baat muñh se nikālī thī 'vasīm'

    jaane kyuuñ saarā zamāna merā dushman ho gayā

    jaane kyun bhai ka bhai khul ke dushman ho gaya

    ghar mein diwaren uThana ab to fashion ho gaya

    ek muflis ko saDak par galiyan dene ke baad

    wo samajhta hai hamara nam raushan ho gaya

    aaj to aae hamein kis ki qayaadat par yaqin

    kal jo apna rahnuma tha aaj rahzan ho gaya

    dekh kar bachchon ko bhi ab yaad aata hi nahin

    mahw kuchh aisa hamare dil se bachpan ho gaya

    chhate chhate chha gai fasl-e-bahaaran par KHizan

    dekhte hi dekhte pamal gulshan ho gaya

    main ne to haq baat hi munh se nikali thi 'wasim'

    jaane kyun sara zamana mera dushman ho gaya

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 797)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now