Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha

Abdul Ahad Saaz

jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha

Abdul Ahad Saaz

MORE BYAbdul Ahad Saaz

    jaane qalam aañkh meñ kis zuhūr thā

    kal raat mere giit ke mukhḌe pe nuur thā

    naġhma chheḌtī thiiñ tajallī uñgliyāñ

    tauret nuzūl ba-lahn-e-zabūr thā

    vo saath saath aur pahuñchnā thā us talak

    har aan ek marhala nazdīk o duur thā

    haibat ke baam par thī bulāve raushnī

    thī vasvasoñ shaam pa jaanā zarūr thā

    har pech koī vāqi.a har moḌ koī yaad

    us ke badan ke saath mirā lā-shu.ūr thā

    ik bhiiḌ mujh se muntazir-e-inkishāf thī

    maiñ thā murāqabe meñ magar be-huzūr thā

    jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha

    kal raat mere git ke mukhDe pe nur tha

    naghma sa chheDti thin tajalli ki ungliyan

    tauret ka nuzul ba-lahn-e-zabur tha

    wo sath sath aur pahunchna tha us talak

    har aan ek marhala nazdik o dur tha

    haibat ke baam par thi bulawe ki raushni

    thi waswason ki sham pa jaana zarur tha

    har pech koi waqia har moD koi yaad

    us ke badan ke sath mera la-shuur tha

    ek bhiD mujh se muntazir-e-inkishaf thi

    main tha muraqabe mein magar be-huzur tha

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz

    RECITATIONS

    Abdul Ahad Saaz

    Abdul Ahad Saaz,

    Abdul Ahad Saaz

    jaane qalam ki aankh mein kis ka zuhur tha Abdul Ahad Saaz

    Source:

    Khamoshi Bol Uthi Hai (Pg. 120)

    • Author: Abdul Ahad Saaz
      • Edition: 1990
      • Publisher: Qalam Publication
      • Year of Publication: 1990
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now