Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane us shaKHs ko ye kaisa hunar aata hai

Saleem Fauz

jaane us shaKHs ko ye kaisa hunar aata hai

Saleem Fauz

MORE BYSaleem Fauz

    jaane us shaḳhs ko ye kaisā hunar aatā hai

    raat hotī hai to āñkhoñ meñ utar aatā hai

    us chāhat to andāz judā hai sab se

    vo to ḳhushbū tarah ruuh meñ dar aatā hai

    baat kartā hai to alfāz mahak uThte haiñ

    jis tarah shāḳh-e-mohabbat pe samar aatā hai

    phuul us ke lab-o-ruḳhsār pe mar miTte haiñ

    pyaar shabnam ko ba-andāz-e-digar aatā hai

    aisā titlī vo nāzuk hai ki chhū lene se

    rang us mire hāthoñ pe utar aatā hai

    tum to kāñToñ se ghabrā ke palaT jaate ho

    ishq to aag ke dariyā se guzar aatā hai

    fāsla saat samundar se ziyāda hai 'salīm'

    dil to milne ke tasavvur se bhar aatā hai

    jaane us shaKHs ko ye kaisa hunar aata hai

    raat hoti hai to aankhon mein utar aata hai

    us ki chahat ka to andaz juda hai sab se

    wo to KHushbu ki tarah ruh mein dar aata hai

    baat karta hai to alfaz mahak uThte hain

    jis tarah shaKH-e-mohabbat pe samar aata hai

    phul us ke lab-o-ruKHsar pe mar miTte hain

    pyar shabnam ko ba-andaz-e-digar aata hai

    aisa titli sa wo nazuk hai ki chhu lene se

    rang us ka mere hathon pe utar aata hai

    tum to kanTon hi se ghabra ke palaT jate ho

    ishq to aag ke dariya se guzar aata hai

    fasla sat samundar se ziyaada hai 'salim'

    dil to milne ke tasawwur se hi bhar aata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now