Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaanti hun shahr mein ek ghar banana masala hai

Hema Kandpal Hiya

jaanti hun shahr mein ek ghar banana masala hai

Hema Kandpal Hiya

MORE BYHema Kandpal Hiya

    jāntī huuñ shahr meñ ik ghar banānā mas.ala hai

    gaañv ko apne bilaktā chhoḌ aanā mas.ala hai

    zindagī laash kab se paḌī hai dar pe mere

    kaun marghaT le ke jaa.e yaañ to shānā mas.ala hai

    noch kar sab pankh un ke uḌ ga.e haiñ pair vaale

    in parindoñ zamīñ par pankh paanā mas.ala hai

    naap lūñgī arsh maiñ bhī sabr bas mujh ko hai karnā

    kuchh mirī majbūriyoñ aaj maanā mas.ala hai

    us ne apne rañg se jab rañg hai ruuh merī

    kyoñ hathelī hinā phir jamānā mas.ala hai

    thā sukūñ dil ko 'hayā' kachchī likhā.ī meñ pahle

    ab to pakkī maiñ bhī us chain paanā mas.ala hai

    jaanti hun shahr mein ek ghar banana masala hai

    ganw ko apne bilakta chhoD aana masala hai

    zindagi ki lash kab se hi paDi hai dar pe mere

    kaun marghaT le ke jae yan to shana masala hai

    noch kar sab pankh un ke uD gae hain pair wale

    in parindon ka zamin par pankh pana masala hai

    nap lungi arsh main bhi sabr bas mujh ko hai karna

    kuchh meri majburiyon ka aaj mana masala hai

    us ne apne rang se jab rang di hai ruh meri

    kyon hatheli ki hina ka phir jamana masala hai

    tha sukun dil ko 'haya' kachchi likhai mein hi pahle

    ab to pakki main bhi us ka chain pana masala hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now