Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jata hai kahin KHun se nisbat ka asar bhi

Zia Faruqi

jata hai kahin KHun se nisbat ka asar bhi

Zia Faruqi

MORE BYZia Faruqi

    jaatā hai kahīñ ḳhuun se nisbat asar bhī

    talvār jo bolegī to le jā.egī sar bhī

    pahle thā bahut fāsla bāzār se ghar

    ab ek kamre meñ hai bāzār bhī ghar bhī

    dekheñ to nazar aatī hai sad-rang ye duniyā

    barteñ to huī jaatī hai be-rang nazar bhī

    is shahr meñ ashkoñ likhā kaun paḌhegā

    jab ḳhuun uchhaltā hai to bantī hai ḳhabar bhī

    ye soch ke ham ne kabhī jugnū nahīñ pakḌe

    niklegā añdhere se abhī nūr-e-sahar bhī

    kyoñ haq sadā aatī nahīñ bāñg-e-darā se

    ai ḳhvāhish-e-sad-rang zarā dekh idhar bhī

    har shaḳhs liye gard-e-safar ghuum rahā hai

    ik khel lagtā hai 'ziyā' ab to safar bhī

    jata hai kahin KHun se nisbat ka asar bhi

    talwar jo bolegi to le jaegi sar bhi

    pahle tha bahut fasla bazar se ghar ka

    ab ek hi kamre mein hai bazar bhi ghar bhi

    dekhen to nazar aati hai sad-rang ye duniya

    barten to hui jati hai be-rang nazar bhi

    is shahr mein ashkon ka likha kaun paDhega

    jab KHun uchhalta hai to banti hai KHabar bhi

    ye soch ke hum ne kabhi jugnu nahin pakDe

    niklega andhere se abhi nur-e-sahar bhi

    kyon haq ki sada aati nahin bang-e-dara se

    ai KHwahish-e-sad-rang zara dekh idhar bhi

    har shaKHs liye gard-e-safar ghum raha hai

    ek khel sa lagta hai 'ziya' ab to safar bhi

    Source:

    Dasht-e-Shab (Pg. 28)

    • Author: Zia Faruqi
      • Publisher: U.P Computer, Bhopal
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now