Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jati rut se pyar karoge

Gauhar Hoshiyarpuri

jati rut se pyar karoge

Gauhar Hoshiyarpuri

MORE BYGauhar Hoshiyarpuri

    jaatī rut se pyaar karoge

    kar lo baat udhār karoge

    tab mil kar ehsān kiyā thā

    ab mil kar īsār karoge

    jitne ḳhvāb utnī ta.abīreñ

    kitne daaġh shumār karoge

    ai inkār ke ḳhūgar logo

    aur bhī koī vaar karoge

    us ke naam ko naav banā kar

    pyāsoñ ko sarshār karoge

    farz karo ham mar na sake to

    jiine se inkār karoge

    farz karo ham haar ga.e to

    qabr kahāñ tayyār karoge

    jati rut se pyar karoge

    kar lo baat udhaar karoge

    tab mil kar ehsan kiya tha

    ab mil kar isar karoge

    jitne KHwab utni tabiren

    kitne dagh shumar karoge

    ai inkar ke KHugar logo

    aur bhi koi war karoge

    us ke nam ko naw bana kar

    pyason ko sarshaar karoge

    farz karo hum mar na sake to

    jine se inkar karoge

    farz karo hum haar gae to

    qabr kahan tayyar karoge

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 286)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now