jaun phir usko manane ke liye
jā.ūñ phir us ko manāne ke liye
kuchh na.ī qasmeñ haiñ khāne ke liye
kuchh latīfe se ziyāda chāhiye
baiThe-baiThe muskurāne ke liye
bas zarā sī dhuup mil jaatī hameñ
apne giile par sukhāne ke liye
ye jo ab rote haiñ ghar kī yaad meñ
mar rahe the saath aane ke liye
ek sāthī hosh meñ rakkhā gayā
vāpsī meñ ghar batāne ke liye
dushmanoñ ko ghar pe le kar aa ga.e
apnī tayyārī dikhāne ke liye
hosh thoḌā sā bachā letā huuñ maiñ
vāpsī meñ laḌkhaḌāne ke liye
jaun phir us ko manane ke liye
kuchh nai qasmen hain khane ke liye
kuchh latife se ziyaada chahiye
baiThe-baiThe muskurane ke liye
bas zara si dhup mil jati hamein
apne gile par sukhane ke liye
ye jo ab rote hain ghar ki yaad mein
mar rahe the sath aane ke liye
ek sathi hosh mein rakkha gaya
wapsi mein ghar batane ke liye
dushmanon ko ghar pe le kar aa gae
apni tayyari dikhane ke liye
hosh thoDa sa bacha leta hun main
wapsi mein laDkhaDane ke liye
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 80)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.