Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab aadmi mudda-e-haq hai to kya kahen muddaa kahan hai

Darshan Singh

jab aadmi mudda-e-haq hai to kya kahen muddaa kahan hai

Darshan Singh

MORE BYDarshan Singh

    jab aadmī mudd.ā-e-haq hai to kyā kaheñ mudda.ā kahāñ hai

    ḳhudā hai ḳhud jis ke dil meñ pinhāñ vo DhūñDhtā hai ḳhudā kahāñ hai

    ye bazm-e-yārān-e-ḳhud-numā hai na kar ḳhulūs-e-vafā bāteñ

    sabhī to haiñ mudda.ī vafā ke yahāñ koī bevafā kahāñ hai

    tamām partav haiñ aks-e-partav tamām jalve haiñ aks-e-jalva

    kahāñ se lā.ūñ misāl-e-sūrat ki aap dūsrā kahāñ hai

    nihāñ haiñ takmīl-e-ḳhud-shanāsī meñ jalva-hā-e-ḳhudā-shanāsī

    jo apnī hastī se be-ḳhabar hai vo aap se āshnā kahāñ hai

    paḌī hai sunsān dil vaadī akelā mahv-e-talāsh huuñ maiñ

    ki ishq ke rāh-rau kidhar haiñ vafāoñ qāfila kahāñ hai

    jinheñ vasā.el pe hai bharosā ye baat un ko batā de koī

    bachā le kashtī ko jo bhañvar se ḳhudā hai vo nāḳhudā kahāñ hai

    paḌā rahne do sar-ba-sajda na chhūTne do ye āstāna

    ki 'darshan'-e-ḳhasta Thikānā tumhāre dar ke sivā kahāñ hai

    jab aadmi mudda-e-haq hai to kya kahen muddaa kahan hai

    KHuda hai KHud jis ke dil mein pinhan wo DhunDhta hai KHuda kahan hai

    ye bazm-e-yaran-e-KHud-numa hai na kar KHulus-e-wafa ki baaten

    sabhi to hain muddai wafa ke yahan koi bewafa kahan hai

    tamam partaw hain aks-e-partaw tamam jalwe hain aks-e-jalwa

    kahan se laun misal-e-surat ki aap sa dusra kahan hai

    nihan hain takmil-e-KHud-shanasi mein jalwa-ha-e-KHuda-shanasi

    jo apni hasti se be-KHabar hai wo aap se aashna kahan hai

    paDi hai sunsan dil ki wadi akela mahw-e-talash hun main

    ki ishq ke rah-rau kidhar hain wafaon ka qafila kahan hai

    jinhen wasael pe hai bharosa ye baat un ko bata de koi

    bacha le kashti ko jo bhanwar se KHuda hai wo naKHuda kahan hai

    paDa hi rahne do sar-ba-sajda na chhuTne do ye aastana

    ki 'darshan'-e-KHasta ka Thikana tumhaare dar ke siwa kahan hai

    Source:

    Mata-e-Noor (Pg. 67)

    • Author: Darshan Singh
      • Edition: 1988
      • Publisher: Sawan Kirpal Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now