aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab aaftab ki aag is zamin ko chaTegi

Shariq Jamal Nagpuri

jab aaftab ki aag is zamin ko chaTegi

Shariq Jamal Nagpuri

MORE BYShariq Jamal Nagpuri

    jab āftāb aag is zamīñ ko chāTegī

    makāñ khoj meñ saḌkoñ pe bhiiḌ bhāgegī

    maiñ dekhtā rahūñgā tire sarāpā ko

    jab aañkh so.egī merī nigāh jāgegī

    jo Das rahī hai abhī jāgtī nigāhoñ

    saverā hote vo raat zahr khā.egī

    jo sonā chāho to darvāze band kar lenā

    khulā rahegā ye kamra to dhuup jhāñkegī

    laboñ pe niiñd ġhalbe agar huā 'shāriq'

    yaqīñ hai mere qalam zabān jāgegī

    jab aaftab ki aag is zamin ko chaTegi

    makan ki khoj mein saDkon pe bhiD bhagegi

    main dekhta hi rahunga tere sarapa ko

    jab aankh soegi meri nigah jagegi

    jo Das rahi hai abhi jagti nigahon ki

    sawera hote hi wo raat zahr khaegi

    jo sona chaho to darwaze band kar lena

    khula rahega ye kamra to dhup jhankegi

    labon pe nind ka ghalbe agar hua 'shaariq'

    yaqin hai mere qalam ki zaban jagegi

    Source:

    عکس بر عکس (Pg. 80)

    • Author: شارق جمال
      • Publisher: شاہد پریس ناگپور
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now