jab āsmān par mah-o-aḳhtar palaT kar aa.e
ham ruḳh pe din kī dhuup liye ghar palaT kar aa.e
nazzāra jin kā bā.is-e-rahm-e-nigāh thā
āñkhoñ ke sāmne vahī manzar palaT kar aa.e
har ghar sulag rahā thā ajab sard aag meñ
jab arsa-gāh-e-jañg se lashkar palaT kar aa.e
sad-rashk-e-iltifāt thā jab us kā jaur bhī
jī kyuuñ na chāhe phir vo sitamgar palaT kar aa.e
jo baat guftanī thī vahī an-kahī rahī
be-ras jo tazkire the zabāñ par palaT kar aa.e
duniyā se ho ga.e na hoñ āzurda-dil kahīñ
phir is zamīn par na payambar palaT kar aa.e
ye baat agar hai sach ki palaTtā nahīñ hai vaqt
lamhāt-e-ġham mire liye kyuuñ kar palaT kar aa.e
kahte haiñ us ne dekhī thī kal ek jal-parī
har lab pe hai duā ki shanāvar palaT kar aa.e
ai 'ābid' āsmāñ pe na kuchh bhī asar huā
mujh par hī merī aah ke patthar palaT kar aa.e
jab aasman par mah-o-aKHtar palaT kar aae
hum ruKH pe din ki dhup liye ghar palaT kar aae
nazzara jin ka bais-e-rahm-e-nigah tha
aankhon ke samne wahi manzar palaT kar aae
har ghar sulag raha tha ajab sard aag mein
jab arsa-gah-e-jang se lashkar palaT kar aae
sad-rashk-e-iltifat tha jab us ka jaur bhi
ji kyun na chahe phir wo sitamgar palaT kar aae
jo baat guftani thi wahi an-kahi rahi
be-ras jo tazkire the zaban par palaT kar aae
duniya se ho gae na hon aazurda-dil kahin
phir is zamin par na payambar palaT kar aae
ye baat agar hai sach ki palaTta nahin hai waqt
lamhat-e-gham mere liye kyun kar palaT kar aae
kahte hain us ne dekhi thi kal ek jal-pari
har lab pe hai dua ki shanawar palaT kar aae
ai 'abid' aasman pe na kuchh bhi asar hua
mujh par hi meri aah ke patthar palaT kar aae
Source:
Intikhab Apna Apna (Pg. 78)
-
- Edition: 1987
- Publisher: Seemant Parkashan, New Delhi
- Year of Publication: 1987
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.