Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha

Khurshid Sahar

jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha

Khurshid Sahar

MORE BYKhurshid Sahar

    jab apne-āp ko malbūs meñ chhupāyā thā

    tamām shahr ko ham ne barahana paayā thā

    na apnī sub.h ḳhushiyāñ na apnī shaam ġham

    hamāre paas to jo kuchh thā vo parāyā thā

    talāsh kartī hai jis ko tumhārī rāhguzar

    vo maiñ nahīñ thā mirī justujū saaya thā

    vo hañs rahā thā magar ashk-e-ġham na rok sakā

    zarā baat pe jis ne hameñ rulāyā thā

    ajiib moḌ thā tark-e-ta.alluqāt vo

    jab apne-āp se ham ne fareb khāyā thā

    dhuāñ dhuāñ thī fazā gard gard thā manzar

    dhuñdlakā shaam jis din sahar pe chhāyā thā

    jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha

    tamam shahr ko hum ne barahana paya tha

    na apni subh ki KHushiyan na apni sham ka gham

    hamare pas to jo kuchh tha wo paraya tha

    talash karti hai jis ko tumhaari rahguzar

    wo main nahin tha meri justuju ka saya tha

    wo hans raha tha magar ashk-e-gham na rok saka

    zara si baat pe jis ne hamein rulaya tha

    ajib moD tha tark-e-talluqat ka wo

    jab apne-ap se hum ne fareb khaya tha

    dhuan dhuan thi faza gard gard tha manzar

    dhundlaka sham ka jis din sahar pe chhaya tha

    RECITATIONS

    Khurshid Sahar

    Khurshid Sahar,

    Khurshid Sahar

    jab apne-ap ko malbus mein chhupaya tha Khurshid Sahar

    Source :
    • Book : Rifat mere khawab ki (Pg. 10)
    • Author : khurshiid sahar
    • Publication : R-K- hause new millat colony secter-1 patna (2013)
    • Edition : 2013
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now