Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab azm ke shoalon ko himmat ne hawa di hai

Sabiha Sumbul

jab azm ke shoalon ko himmat ne hawa di hai

Sabiha Sumbul

MORE BYSabiha Sumbul

    jab azm ke sho.aloñ ko himmat ne havā hai

    tūfāñ ne sāhil tasvīr dikhā hai

    sho.aloñ se gila kaisā bijlī se shikāyat kyā

    gulshan ke nigahbāñ ne har shāḳh jalā hai

    chāhā thā kareñ un se kuchh shikva-e-be-mehrī

    lab hilne se pahle saugand khilā hai

    ik vo bhī haiñ marte haiñ jo nañg-e-vafā ban kar

    har vaar pe ham ne to qātil ko duā hai

    kaañp uTThā hai jaane kyuuñ har tār-e-nafas 'sumbul'

    jab mere buzurgoñ ne jiine duā hai

    jab azm ke shoalon ko himmat ne hawa di hai

    tufan ne hi sahil ki taswir dikha di hai

    shoalon se gila kaisa bijli se shikayat kya

    gulshan ke nigahban ne har shaKH jala di hai

    chaha tha karen un se kuchh shikwa-e-be-mehri

    lab hilne se pahle hi saugand khila di hai

    ek wo bhi hain marte hain jo nang-e-wafa ban kar

    har war pe hum ne to qatil ko dua di hai

    kanp uTTha hai jaane kyun har tar-e-nafas 'sumbul'

    jab mere buzurgon ne jine ki dua di hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now