Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab bhi dar-o-rasan ki baat karo

Naim Siddiqi

jab bhi dar-o-rasan ki baat karo

Naim Siddiqi

MORE BYNaim Siddiqi

    jab bhī dār-o-rasan baat karo

    ek ujle kafan baat karo

    chhoḌo ab qissa-hā-e-ahd-e-kuhan

    kuchh sharāb-e-kuhan baat karo

    kisī mar-mar ke jism ho zikr

    nahīñ dil badan baat karo

    ahl-e-ālam fikr ho kab tak

    ab kuchh ahl-e-vatan baat karo

    zikr-e-mahtāb ho to kyā hai zarūr

    us ik-ik kiran baat karo

    ab samajhtā hai kaun ḳhaar hai kyā

    sirf us chubhan baat karo

    ham taḳhallus ke bhī nahīñ qaa.il

    kisī ahl-e-suḳhan baat karo

    jab bhi dar-o-rasan ki baat karo

    ek ujle kafan ki baat karo

    chhoDo ab qissa-ha-e-ahd-e-kuhan

    kuchh sharab-e-kuhan ki baat karo

    kisi mar-mar ke jism ka ho zikr

    nahin dil ki badan ki baat karo

    ahl-e-alam ki fikr ho kab tak

    ab kuchh ahl-e-watan ki baat karo

    zikr-e-mahtab ho to kya hai zarur

    us ki ik-ik kiran ki baat karo

    ab samajhta hai kaun KHar hai kya

    sirf us ki chubhan ki baat karo

    hum taKHallus ke bhi nahin qail

    kisi ahl-e-suKHan ki baat karo

    Source:

    Paimana-e-Imroz (Pg. 26)

    • Author: Naim Siddiqi
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now