jab bhi des ko wapas jaun aankh mein aansu aae
jab bhī des ko vāpas jā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
zehn meñ maazī ko lauTā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
apne shahr ke gūñge bahre logoñ ko maiñ apne
jab bhī dil kī baat sunā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
qadam qadam par dhoke-bāz haiñ pyaar jatāte haiñ
un ke raaz samajh na pā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
ye muskāneñ jhūTī ḳhushiyāñ kab tak bāñTūñ maiñ
kis ko dil ke zaḳhm dikhā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
koī na mere aañsū poñchhe gale na koī lagā.e
kis se ab maiñ aas lagā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
dard meñ Duubā kaise likkhūñ duniyā kā afsāna
'amjad' jab bhī qalam uThā.ūñ aañkh meñ aañsū aa.e
jab bhi des ko wapas jaun aankh mein aansu aae
zehn mein mazi ko lauTaun aankh mein aansu aae
apne shahr ke gunge bahre logon ko main apne
jab bhi dil ki baat sunaun aankh mein aansu aae
qadam qadam par dhoke-baz hain pyar jatate hain
un ke raaz samajh na paun aankh mein aansu aae
ye muskanen jhuTi KHushiyan kab tak banTun main
kis ko dil ke zaKHm dikhaun aankh mein aansu aae
koi na mere aansu ponchhe gale na koi lagae
kis se ab main aas lagaun aankh mein aansu aae
dard mein Duba kaise likkhun duniya ka afsana
'amjad' jab bhi qalam uThaun aankh mein aansu aae
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 210)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.