Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya

Meena Kumari Naz

jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya

Meena Kumari Naz

MORE BYMeena Kumari Naz

    jab chāhā iqrār kiyā hai jab chāhā inkār kiyā

    dekho ham ne ḳhud se ye kaisā anokhā pyaar kiyā

    aisā anokhā aisā tīkhā jis ko koī sah na sake

    ham samjhe pattī pattī ko ham ne sarshār kiyā

    ruup anokhe mere haiñ aur ruup ye ne dekhe haiñ

    maiñ ne chāhā kar bhī dikhāyā jañgal gulzār kiyā

    dard to hotā rahtā hai dard ke din pyāre haiñ

    jaise tez chhurī ko ham ne rah rah kar phir dhaar kiyā

    kaale chehre kaalī ḳhushbū sab ko ham ne dekhā hai

    apnī āñkhoñ se un ko sharminda har ik baar kiyā

    rote dil hañste chehroñ ko koī bhī na dekh sakā

    aañsū lene va.ada haañ sab ne har baar kiyā

    kahne jaisī baat nahīñ hai baat to bilkul saada hai

    dil par qurbān hue aur dil ko bīmār kiyā

    shīshe TuuTe dil TuuTe ḳhushk laboñ par maut liye

    jo koī bhī kar na sakā vo ham ne āḳhir-kār kiyā

    'nāz' tire zaḳhmī hāthoñ ne jo bhī kiyā achchhā kiyā

    ne sab maañg sajā.ī har ik siñgār kiyā

    jab chaha iqrar kiya hai jab chaha inkar kiya

    dekho hum ne KHud hi se ye kaisa anokha pyar kiya

    aisa anokha aisa tikha jis ko koi sah na sake

    hum samjhe patti patti ko hum ne hi sarshaar kiya

    rup anokhe mere hain aur rup ye tu ne dekhe hain

    main ne chaha kar bhi dikhaya ya jangal gulzar kiya

    dard to hota hi rahta hai dard ke din hi pyare hain

    jaise tez chhuri ko hum ne rah rah kar phir dhaar kiya

    kale chehre kali KHushbu sab ko hum ne dekha hai

    apni aankhon se un ko sharminda har ek bar kiya

    rote dil hanste chehron ko koi bhi na dekh saka

    aansu pi lene ka wada han sab ne har bar kiya

    kahne jaisi baat nahin hai baat to bilkul sada hai

    dil hi par qurban hue aur dil hi ko bimar kiya

    shishe TuTe ya dil TuTe KHushk labon par maut liye

    jo koi bhi kar na saka wo hum ne aaKHir-kar kiya

    'naz' tere zaKHmi hathon ne jo bhi kiya achchha hi kiya

    tu ne sab ki mang sajai har ek ka singar kiya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now