Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha

Saeed Ahmad Akhtar

jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha

Saeed Ahmad Akhtar

MORE BYSaeed Ahmad Akhtar

    jab chāroñ-or añdherā thā sach kam thā jhuuT ghanerā thā

    dariyā se baḌe ik shaḳhs ik dariyā ke kināre Derā thā

    vo thā kuchh us ke bachche the kuchh saath the aur kuchh ghar vaale

    ā.īne se kore dil vaale kohsār se ūñche sar vaale

    ye log vafā ke haamī the nā-mūs-o-hayā ke haamī the

    bas ek rasūl ke qaa.il bas ek ḳhudā ke haamī the

    is dā.ī-e-amn-o-mohabbat ke raste meñ dushman faujeñ

    yuuñ barsoñ phail ga.iiñ jaise chaḌhte dariyā maujeñ

    bātil ke haath pe ye zulm haq vāloñ se bai.at lete the

    mehmān banā kar laa.e the paanī bhī na piine dete the

    insāf pyaar āshtī sab bāteñ jab be-kār ga.iiñ

    vo mard-e-mujāhid haq ke liye kaT marne ko tayyār huā

    afrād pe bhī aqvām pe bhī ye mushkil aatī rahtī hai

    har daur meñ haq-o-bātil quvvat Takrātī rahtī hai

    phir jañg huī vo jañg jise tā-hashr na bhūlegā koī

    vo zulm hue jin par ab tak har shahr meñ mātam hote haiñ

    us zulm qissa lambā hai us jañg pustak bhārī hai

    vo jañg jo kab ḳhatm huī vo jañg abhī tak jaarī hai

    jab chaaron-or andhera tha sach kam tha jhuT ghanera tha

    dariya se baDe ek shaKHs ka ek dariya ke kinare Dera tha

    wo tha kuchh us ke bachche the kuchh sath the aur kuchh ghar wale

    aaine se kore dil wale kohsar se unche sar wale

    ye log wafa ke hami the na-mus-o-haya ke hami the

    bas ek rasul ke qail bas ek KHuda ke hami the

    is dai-e-amn-o-mohabbat ke raste mein dushman ki faujen

    yun barson phail gain jaise chaDhte dariya ki maujen

    baatil ke hath pe ye zulm haq walon se baiat lete the

    mehman bana kar lae the pani bhi na pine dete the

    insaf ki pyar ki aashti ki sab baaten jab be-kar gain

    wo mard-e-mujahid haq ke liye kaT marne ko tayyar hua

    afrad pe bhi aqwam pe bhi ye mushkil aati rahti hai

    har daur mein haq-o-baatil ki quwwat Takraati rahti hai

    phir jang hui wo jang jise ta-hashr na bhulega koi

    wo zulm hue jin par ab tak har shahr mein matam hote hain

    us zulm ka qissa lamba hai us jang ki pustak bhaari hai

    wo jang jo kab ki KHatm hui wo jang abhi tak jari hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now