Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab dard ki shaMein jalti hain ehsas ke nazuk sine mein

Qaisar Qalandar

jab dard ki shaMein jalti hain ehsas ke nazuk sine mein

Qaisar Qalandar

MORE BYQaisar Qalandar

    jab dard sham.eñ jaltī haiñ ehsās ke nāzuk siine meñ

    ik husn shāmil hotā hai phir tanhā tanhā jiine meñ

    kuchh lutf garmī ḳhātir kuchh jān-e-vafā ke sadqe meñ

    gesū-e-alam ke saa.e meñ rāhat milī hai piine meñ

    āġhosh-e-tamannā chhū aa.eñ jab zulf-e-yār ḳhushbū meñ

    āñkhoñ meñ sāvan lahrāyā dīpak sulgā siine meñ

    mausīqī-e-husn maujeñ thī kuchh āñkhoñ meñ kuchh pyāloñ meñ

    jo sāhil-e-dil tak ho aa.eñ yādoñ ke ek safīne meñ

    palkoñ meñ sulagte tāroñ se maiñ raat afshāñ chun na sakā

    sho.aloñ ko chhupā.e phirtā huuñ maiñ dil ke ek nagīne meñ

    vo rañg-e-hayā ehsās-e-tarab ā.īna-e-ruḳh ke aks-fagan

    ik tābish tere chehre ik aañch mere siine meñ

    kaliyoñ ne ghūñghaT sarkā.e shabnam ne motī rol diye

    lazzat milī hai ashkoñ se ye chaak jigar siine meñ

    naġhmoñ chāñdnī chhiTkī hai sheroñ ke shabistāñ mahke haiñ

    phir sāz-e-ġhazal le aayā huuñ ik lutf hai aksar jiine meñ

    jab dard ki shamen jalti hain ehsas ke nazuk sine mein

    ek husn sa shamil hota hai phir tanha tanha jine mein

    kuchh lutf ki garmi ki KHatir kuchh jaan-e-wafa ke sadqe mein

    gesu-e-alam ke sae mein rahat si mili hai pine mein

    aaghosh-e-tamanna chhu aaen jab zulf-e-yar ki KHushbu mein

    aankhon mein sawan lahraya dipak sa sulga sine mein

    mausiqi-e-husn ki maujen thi kuchh aankhon mein kuchh pyalon mein

    jo sahil-e-dil tak ho aaen yaadon ke ek safine mein

    palkon mein sulagte taron se main raat ki afshan chun na saka

    shoalon ko chhupae phirta hun main dil ke ek nagine mein

    wo rang-e-haya ehsas-e-tarab aaina-e-ruKH ke aks-fagan

    ek tabish tere chehre ki ek aanch si mere sine mein

    kaliyon ne ghunghaT sarkae shabnam ne moti rol diye

    lazzat si mili hai ashkon se ye chaak jigar ka sine mein

    naghmon ki chandni chhiTki hai sheron ke shabistan mahke hain

    phir saz-e-ghazal le aaya hun ek lutf hai aksar jine mein

    Source:

    urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 32)

    • Author: devendra issar
      • Edition: 1963
      • Publisher: sahityaa parkaashak maalbaara delhi
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now