Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare

Anand Narayan Mulla

jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    jab dil meñ zarā bhī aas na ho iz.hār-e-tamannā kaun kare

    armān kiye dil meñ fanā armān ko rusvā kaun kare

    ḳhālī hai mirā sāġhar to rahe saaqī ko ishārā kaun kare

    ḳhuddārī-e-sā.il bhī to hai kuchh har baar taqāzā kaun kare

    jab apnā dil ḳhud le Duube auroñ pe sahārā kaun kare

    kashtī pe bharosā jab na rahā tinkoñ pe bharosā kaun kare

    ādāb-e-mohabbat meñ bhī ajab do dil milne ko raazī haiñ

    lekin ye takalluf haa.il hai pahlā vo ishārā kaun kare

    dil terī jafā se TuuT chukā ab chashm-e-karam aa.ī bhī to kyā

    phir le ke isī TuuTe dil ko ummīd dobārā kaun kare

    jab dil thā shagufta gul tarah Tahnī kāñTā chubhtī thī

    ab ek fasurda dil le kar gulshan tamannā kaun kare

    basne do nasheman ko apne phir ham bhī kareñge sair-e-chaman

    jab tak ki nasheman ujḌā hai phūloñ nazārā kaun kare

    ik dard hai apne dil meñ bhī ham chup haiñ duniyā nā-vāqif

    auroñ tarah dohrā dohrā kar us ko fasānā kaun kare

    kashtī maujoñ meñ Daalī hai marnā hai yahīñ jiinā hai yahīñ

    ab tūfānoñ se ghabrā kar sāhil irāda kaun kare

    'mullā' galā tak baiTh gayā bahrī duniyā ne kuchh na sunā

    jab sunñe vaalā ho aisā rah rah ke pukārā kaun kare

    jab dil mein zara bhi aas na ho izhaar-e-tamanna kaun kare

    arman kiye dil hi mein fana arman ko ruswa kaun kare

    KHali hai mera saghar to rahe saqi ko ishaara kaun kare

    KHuddari-e-sail bhi to hai kuchh har bar taqaza kaun kare

    jab apna dil KHud le Dube auron pe sahaara kaun kare

    kashti pe bharosa jab na raha tinkon pe bharosa kaun kare

    aadab-e-mohabbat mein bhi ajab do dil milne ko raazi hain

    lekin ye takalluf hail hai pahla wo ishaara kaun kare

    dil teri jafa se TuT chuka ab chashm-e-karam aai bhi to kya

    phir le ke isi TuTe dil ko ummid dobara kaun kare

    jab dil tha shagufta gul ki tarah Tahni kanTa si chubhti thi

    ab ek fasurda dil le kar gulshan ki tamanna kaun kare

    basne do nasheman ko apne phir hum bhi karenge sair-e-chaman

    jab tak ki nasheman ujDa hai phulon ka nazara kaun kare

    ek dard hai apne dil mein bhi hum chup hain duniya na-waqif

    auron ki tarah dohra dohra kar us ko fasana kaun kare

    kashti maujon mein Dali hai marna hai yahin jina hai yahin

    ab tufanon se ghabra kar sahil ka irada kaun kare

    'mulla' ka gala tak baiTh gaya bahri duniya ne kuchh na suna

    jab sunne wala ho aisa rah rah ke pukara kaun kare

    Source:

    Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 156)

    • Author: Anand Narayan Mull a
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye-farogh Urdu
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now