Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab hui KHak to iksir hui hai baba

Jafar Raza

jab hui KHak to iksir hui hai baba

Jafar Raza

MORE BYJafar Raza

    jab huī ḳhaak to iksīr huī hai baabā

    aarzū miTne se tāsīr huī hai baabā

    daaġh haiñ qalb-o-jigar chhuT ga.e arbāb-e-vafā

    zindagī ab mujhe ta.azīr huī hai baabā

    dard chāragar aur dard darmāñ niklā

    dard dard tadbīr huī hai baabā

    koī batlā na sakā tālib-o-mtlūb farq

    yuuñ tarīqat bhī ta.abīr huī hai baabā

    karbalā dhuup hai to pyaas hai dariyā-e-furāt

    ik sadāqat yūñhī tahrīr huī hai baabā

    ḳhaak par sajda ho qātil chhurī shah-rag par

    har sadā nāra-e-takbīr huī hai baabā

    nok neza pe koī boltā qur.ān bhī thā

    is tarah se kabhī tafsīr huī hai baabā

    jab hui KHak to iksir hui hai baba

    aarzu miTne se tasir hui hai baba

    dagh hain qalb-o-jigar chhuT gae arbab-e-wafa

    zindagi ab mujhe tazir hui hai baba

    dard hi chaaragar aur dard hi darman nikla

    dard hi dard ki tadbir hui hai baba

    koi batla na saka talib-o-mtlub ka farq

    yun tariqat ki bhi tabir hui hai baba

    karbala dhup hai to pyas hai dariya-e-furaat

    ek sadaqat yunhi tahrir hui hai baba

    KHak par sajda ho qatil ki chhuri shah-rag par

    har sada nara-e-takbir hui hai baba

    nok neza pe koi bolta quran bhi tha

    is tarah se kabhi tafsir hui hai baba

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now