Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jaan pe lab-e-jaanan ki mahak ek barish manzar ho jae

Jamshed Masroor

jab jaan pe lab-e-jaanan ki mahak ek barish manzar ho jae

Jamshed Masroor

MORE BYJamshed Masroor

    jab jaañ pe lab-e-jānāñ mahak ik bārish manzar ho jaa.e

    ham haath baḌhā.eñ aur is meñ mahtāb gul-e-tar ho jaa.e

    kab dil laḌakpan jā.egā har vaqt yahī hai zid us

    jo māñge usī pal mil jaa.e jo soche vahīñ par ho jaa.e

    ik ālam-e-jāñ vo hotā hai taḳhsīs nahīñ jis meñ koī

    is vaqt hamārī bāñhoñ meñ jo aa.e vo dilbar ho jaa.e

    āshob-e-mohabbat aañsū rakhtā hai talavvun fitrat meñ

    āñkhoñ meñ rahe to qatra hai Tapke to samundar ho jaa.e

    jitnā bhī sameTeñ āñkhoñ meñ rahtā nahīñ kuchh yaad hameñ

    yārab vo tilism-e-āriz-o-lab ik roz to azbar ho jaa.e

    'jamshed' matā-e-husn jahāñ sab ahl-e-nazar hissa hai

    jo chāhe qalandar ho jaa.e jo chāhe sikandar ho jaa.e

    jab jaan pe lab-e-jaanan ki mahak ek barish manzar ho jae

    hum hath baDhaen aur is mein mahtab gul-e-tar ho jae

    kab dil ka laDakpan jaega har waqt yahi hai zid us ki

    jo mange usi pal mil jae jo soche wahin par ho jae

    ek aalam-e-jaan wo hota hai taKHsis nahin jis mein koi

    is waqt hamari banhon mein jo aae wo dilbar ho jae

    aashob-e-mohabbat ka aansu rakhta hai talawwun fitrat mein

    aankhon mein rahe to qatra hai Tapke to samundar ho jae

    jitna bhi sameTen aankhon mein rahta hi nahin kuchh yaad hamein

    yarab wo tilism-e-ariz-o-lab ek roz to azbar ho jae

    'jamshed' mata-e-husn jahan sab ahl-e-nazar ka hissa hai

    jo chahe qalandar ho jae jo chahe sikandar ho jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now