Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha

Nitin Nayab

jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha

Nitin Nayab

MORE BYNitin Nayab

  jab jab maiñ zindagī pareshāniyoñ meñ thā

  apnoñ ke bāvajūd bhī tanhā.iyoñ meñ thā

  ābādiyoñ ne saare bharam miTā diye

  is se ziyāda ḳhush to maiñ vīrāniyoñ meñ thā

  sāhil pe jo khaḌe the unheñ mauj le ga.ī

  maiñ bach gayā yaar maiñ tuġhyāniyoñ meñ thā

  āsāniyoñ meñ ziist be-kaif ho ga.ī

  jiine asl lutf to dushvāriyoñ meñ thā

  kartā bhī kyā kisī se shifā koī umiid

  saarā saarā shahr bīmāriyoñ meñ thā

  jo sāda-lauh the vo nasīboñ meñ rah ga.e

  chālāk jo bhī shaḳhs thā achchhā.iyoñ meñ thā

  kuchh aap ne ġhaur se Daalī nahīñ nazar

  merā bhī naam aap ke shaidā.iyoñ meñ thā

  bāteñ to sattā par yuuñ bahut huiiñ magar

  merā dimāġh jhiil gahrā.iyoñ meñ thā

  'nāyāb'-bhā.ī ban ke gale jo milā thā kal

  us shaḳhs shumār bhī dañgā.iyoñ meñ thā

  jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha

  apnon ke bawajud bhi tanhaiyon mein tha

  aabaadiyon ne sare bharam hi miTa diye

  is se ziyaada KHush to main viraniyon mein tha

  sahil pe jo khaDe the unhen mauj le gai

  main bach gaya ki yar main tughyaniyon mein tha

  aasaniyon mein zist hi be-kaif ho gai

  jine ka asl lutf to dushwariyon mein tha

  karta bhi kya kisi se shifa ki koi umid

  sara ka sara shahr hi bimariyon mein tha

  jo sada-lauh the wo nasibon mein rah gae

  chaalak jo bhi shaKHs tha achchhaiyon mein tha

  kuchh aap hi ne ghaur se Dali nahin nazar

  mera bhi nam aap ke shaidaiyon mein tha

  baaten to satta par yun bahut si huin magar

  mera dimagh jhil ki gahraiyon mein tha

  'nayab'-bhai ban ke gale jo mila tha kal

  us shaKHs ka shumar bhi dangaiyon mein tha

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now