Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab jab teri aankh se Tapka aansu shabnam roi hai

Devdas Bismil

jab jab teri aankh se Tapka aansu shabnam roi hai

Devdas Bismil

MORE BYDevdas Bismil

    jab jab terī aañkh se Tapkā aañsū shabnam roī hai

    jaise sham.a jalī hai shab bhar thak ke sub.h ko soī hai

    jo bo.oge vo kāTo.ge qudrat qānūn hai ye

    ham to kīkar kaaT rahe haiñ kaisī fasl ye boī hai

    ḳhuun ke dariyā tair ke ham ne āzādī hāsil thī

    par sāhil pe pahuñch ke ham ne ḳhud naav Duboī hai

    mazlūmoñ ne pāmāloñ ne zulm sahe haiñ sadiyoñ se

    har ik daur meñ un logoñ ne bas suulī Dhoī hai

    raste raste ḳhaar bichhe haiñ manzil manzil sho.ale haiñ

    dil raah pe chal kar ham ne apnī hastī khoī hai

    'bismil' umr gañvā.ī sach par īmāñ par qurbān hue

    jab insāf aas lagā.ī tab tab aañkh bhigoī hai

    jab jab teri aankh se Tapka aansu shabnam roi hai

    jaise shama jali hai shab bhar thak ke subh ko soi hai

    jo booge wo kaToge qudrat ka qanun hai ye

    hum to kikar kaT rahe hain kaisi fasl ye boi hai

    KHun ke dariya tair ke hum ne aazadi hasil ki thi

    par sahil pe pahunch ke hum ne KHud hi naw Duboi hai

    mazlumon ne pamalon ne zulm sahe hain sadiyon se

    har ek daur mein un logon ne bas suli hi Dhoi hai

    raste raste KHar bichhe hain manzil manzil shoale hain

    dil ki rah pe chal kar hum ne apni hasti khoi hai

    'bismil' umr ganwai sach par iman par qurban hue

    jab insaf ki aas lagai tab tab aankh bhigoi hai

    Source:

    Gul Gulshan Gulfam (Pg. 68)

    • Author: Devdas Bismil
      • Publisher: Asbaq Publications, Pune
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now