jab juda hum tum hue the mausam-e-dil zard tha
jab judā ham tum hue the mausam-e-dil zard thā
āñkhoñ meñ thī ġham kī rim-jhim jaañ kā sūraj sard thā
kuchh baras pahle talak yaañ har koī hamdard thā
ek duuje ke liye sab ke diloñ meñ dard thā
jab bisāt-e-zindagī par vaqt ne baazī chalī
maat us ne dī mujhe jo mere ghar kā fard thā
shahr-e-jāñ ke bām-o-dar ik shaḳhs ulaT kar chal diyā
ho na ho vo dushman-e-jāñ koī dahshat-gard thā
ḳhāk-o-ḳhūñ meñ Duub kar apnā vatan hāsil huā
ābla-pā the magar pur-azm har ik fard thā
chaah baiThā thā jise maiñ jaan kar ik aa.ina
haa.e sad-afsos ki vo aa.ine kī gard thā
'aks harjā.ī miTā ā.īna-e-dil se 'sahāb'
ve sitamgar be-muravvat bevafā be-dard thā
jab juda hum tum hue the mausam-e-dil zard tha
aankhon mein thi gham ki rim-jhim jaan ka suraj sard tha
kuchh baras pahle talak yan har koi hamdard tha
ek duje ke liye sab ke dilon mein dard tha
jab bisat-e-zindagi par waqt ne bazi chali
mat us ne di mujhe jo mere ghar ka fard tha
shahr-e-jaan ke baam-o-dar ek shaKHs ulaT kar chal diya
ho na ho wo dushman-e-jaan koi dahshat-gard tha
KHak-o-KHun mein Dub kar apna watan hasil hua
aabla-pa the magar pur-azm har ek fard tha
chah baiTha tha jise main jaan kar ek aaina
hae sad-afsos ki wo aaine ki gard tha
'aks harjai miTa aaina-e-dil se 'sahab'
we sitamgar be-murawwat bewafa be-dard tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.