Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab judai ka maza jata raha

Rasikh Dehlvi

jab judai ka maza jata raha

Rasikh Dehlvi

MORE BYRasikh Dehlvi

    jab judā.ī mazā jaatā rahā

    āshnā.ī mazā jaatā rahā

    lutf-e-vasl un hayā ne kho diyā

    hāthā-pā.ī mazā jaatā rahā

    jabr par karte haiñ vo tākīd-e-sabr

    ab duhā.ī mazā jaatā rahā

    qatra-e-mai āb-e-zamzam meñ nahīñ

    is ThañDā.ī mazā jaatā rahā

    sang-e-asvad ban gayā vo sang-e-dar

    jab.ha-sā.ī mazā jaatā rahā

    sīdhī sīdhī gāliyāñ diiñ aap ne

    kaj-adā.ī mazā jaatā rahā

    rotī hai maḳhlūq mere haal par

    jag-hañsā.ī mazā jaatā rahā

    kho diyā hai lan-tarānī ne tumheñ

    ḳhud-numā.ī mazā jaatā rahā

    kah rahā hai zaḳhm tere be-namak

    muñh-bharā.ī mazā jaatā rahā

    gul nahīñ suntā fuġhān-e-andalīb

    ḳhush-navā.ī mazā jaatā rahā

    vo dilāsā de rahe haiñ ġhair ko

    dilrubā.ī mazā jaatā rahā

    miT gayā naqsh-e-qadam us chaal par

    rahnumā.ī mazā jaatā rahā

    muñh lagī hai jab se 'rāsiḳh' duḳht-e-raz

    pārsā.ī mazā jaatā rahā

    jab judai ka maza jata raha

    aashnai ka maza jata raha

    lutf-e-wasl un ki haya ne kho diya

    hatha-pai ka maza jata raha

    jabr par karte hain wo takid-e-sabr

    ab duhai ka maza jata raha

    qatra-e-mai aab-e-zamzam mein nahin

    is ThanDai ka maza jata raha

    sang-e-aswad ban gaya wo sang-e-dar

    jabha-sai ka maza jata raha

    sidhi sidhi galiyan din aap ne

    kaj-adai ka maza jata raha

    roti hai maKHluq mere haal par

    jag-hansai ka maza jata raha

    kho diya hai lan-tarani ne tumhein

    KHud-numai ka maza jata raha

    kah raha hai zaKHm tere be-namak

    munh-bharai ka maza jata raha

    gul nahin sunta fughan-e-andalib

    KHush-nawai ka maza jata raha

    wo dilasa de rahe hain ghair ko

    dilrubai ka maza jata raha

    miT gaya naqsh-e-qadam us chaal par

    rahnumai ka maza jata raha

    munh lagi hai jab se 'rasiKH' duKHt-e-raz

    parsai ka maza jata raha

    Source:

    (Pg. 12)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now