jab kabhi KHwab-e-wafa se hosh mein aata hai dil
jab kabhī ḳhvāb-e-vafā se hosh meñ aatā hai dil
ḳhud-ba-ḳhud ik yaas ke tūfāñ meñ kho jaatā hai dil
sar-ba-sar afsāna thā apnā junūñ-parvar shabāb
ab vahī bhūlā huā afsāna dohrātā hai dil
ek vo din the ki kho jaatā thā zauq-e-ishq meñ
ab mohabbat ke tasavvur se bhī ghabrātā hai dil
jab ghaTā sāvan kī chhā jaatī hai sehn-e-bāġh par
shola-e-be-tāb kī mānind bal khātā hai dil
be-kasī haa.e mohabbat kī sunā kar dāstāñ
dil ko taḌpātī huuñ maiñ aur mujh ko taḌpātā hai dil
har qadam par ik nayā manzar hai mere sāmne
kah nahīñ saktī kahāñ mujh ko liye jaatā hai dil
bulbul-e-shorīda kā koī nahīñ hai ġham-gusār
yuuñ to har ġhunche ke pahlū meñ nazar aatā hai dil
jab kabhi KHwab-e-wafa se hosh mein aata hai dil
KHud-ba-KHud ek yas ke tufan mein kho jata hai dil
sar-ba-sar afsana tha apna junun-parwar shabab
ab wahi bhula hua afsana dohraata hai dil
ek wo din the ki kho jata tha zauq-e-ishq mein
ab mohabbat ke tasawwur se bhi ghabraata hai dil
jab ghaTa sawan ki chha jati hai sehn-e-bagh par
shola-e-be-tab ki manind bal khata hai dil
be-kasi hae mohabbat ki suna kar dastan
dil ko taDpati hun main aur mujh ko taDpata hai dil
har qadam par ek naya manzar hai mere samne
kah nahin sakti kahan mujh ko liye jata hai dil
bulbul-e-shorida ka koi nahin hai gham-gusar
yun to har ghunche ke pahlu mein nazar aata hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.