Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi koi kaam yaad aaya

Parveen Kaif

jab kabhi koi kaam yaad aaya

Parveen Kaif

MORE BYParveen Kaif

    jab kabhī koī kaam yaad aayā

    tab unheñ merā naam yaad aayā

    jab ye sochā ki un se thī pahchān

    duur salām yaad aayā

    phir nasheman abtarī dekhī

    phir qafas nizām yaad aayā

    phir vo shab vo sukūt aalam

    phir ḳhudā kalām yaad aayā

    aaj unheñ dekh kar mohabbat

    qissa-e-nā-tamām yaad aayā

    haa.e maazī ke ḳhairiyat naame

    jaane kis kis naam yaad aayā

    ban meñ dekhā jo vahshiyoñ hujūm

    shahr izhdihām yaad aayā

    jab kabhi koi kaam yaad aaya

    tab unhen mera nam yaad aaya

    jab ye socha ki un se thi pahchan

    dur hi ka salam yaad aaya

    phir nasheman ki abtari dekhi

    phir qafas ka nizam yaad aaya

    phir wo shab wo sukut ka aalam

    phir KHuda ka kalam yaad aaya

    aaj unhen dekh kar mohabbat ka

    qissa-e-na-tamam yaad aaya

    hae mazi ke KHairiyat name

    jaane kis kis ka nam yaad aaya

    ban mein dekha jo wahshiyon ka hujum

    shahr ka izhdiham yaad aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now