Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kabhi shaghl se Khaali ye bashar hota hai

Azeez Moradabadi

jab kabhi shaghl se Khaali ye bashar hota hai

Azeez Moradabadi

MORE BYAzeez Moradabadi

    jab kabhī shaġhl se ḳhālī ye bashar hotā hai

    to dimāġh us shayātīn ghar hotā hai

    qalb meñ jis ke ho īmān-o-amal tāqat

    vo kisī se bhī nahīñ Dartā niDar hotā hai

    be-amal to duā.eñ bhī palaT aatī haiñ

    bā-amal duāoñ meñ asar hotā hai

    har zamāne meñ hasad karte haiñ us se kuchh log

    jo bhī ārāsta-e-ilm-o-hunar hotā hai

    vaqt pāband-e-hazar to kabhī hotā nahīñ

    vo to har aan sargarm-e-safar hotā hai

    qadr-o-qīmat nahīñ ab zāt-o-sharāfat yahāñ

    us azmat hai ki jo sāhab-e-zar hotā hai

    jo atā kartā hai duniyā ko koī fan-pāra

    baa'd marne ke bhī naam us amar hotā hai

    ham-ḳhayāl apne jo mil jaate haiñ kuchh log 'azīz'

    vaqt phir apnā bahut ḳhuub basar hotā hai

    jab kabhi shaghl se KHali ye bashar hota hai

    to dimagh us ka shayatin ka ghar hota hai

    qalb mein jis ke ho iman-o-amal ki taqat

    wo kisi se bhi nahin Darta niDar hota hai

    be-amal ki to duaen bhi palaT aati hain

    ba-amal ki hi duaon mein asar hota hai

    har zamane mein hasad karte hain us se kuchh log

    jo bhi aarasta-e-ilm-o-hunar hota hai

    waqt paband-e-hazar to kabhi hota hi nahin

    wo to har aan hi sargarm-e-safar hota hai

    qadr-o-qimat nahin ab zat-o-sharafat ki yahan

    us ki azmat hai ki jo sahab-e-zar hota hai

    jo ata karta hai duniya ko koi fan-para

    ba'd marne ke bhi nam us ka amar hota hai

    ham-KHayal apne jo mil jate hain kuchh log 'aziz'

    waqt phir apna bahut KHub basar hota hai

    Source:

    Karwan-e-Ghazal (Pg. 204)

    • Author: Azeez Moradabadi
      • Publisher: National Social Organizations, Moradabad
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now