jab kaha aur bhi duniya mein hasin achchhe hain
jab kahā aur bhī duniyā meñ hasīñ achchhe haiñ
kyā hī jhuñjhlā ke vo bole ki hamīñ achchhe haiñ
kis bharose ye kareñ tujh se vafā kī ummīd
kaun se Dhang tire jān-e-hazīñ achchhe haiñ
ḳhaak meñ aah milā kar hameñ kyā pūchhte ho
ḳhair jis taur haiñ ham ḳhāk-nashīñ achchhe haiñ
dil meñ kyā ḳhaak jagah duuñ tire armānoñ ko
ki makāñ hai ye ḳharāb aur makīñ achchhe haiñ
mujh ko kahte haiñ raqīboñ kī burā.ī sun kar
vo nahīñ tum se bure balki kahīñ achchhe haiñ
but vo kāfir haiñ ki ai 'dāġh' ḳhudā un se bachā.e
kaun kahtā hai ye ġhārat-gar-e-dīñ achchhe haiñ
jab kaha aur bhi duniya mein hasin achchhe hain
kya hi jhunjhla ke wo bole ki hamin achchhe hain
kis bharose ye karen tujh se wafa ki ummid
kaun se Dhang tere jaan-e-hazin achchhe hain
KHak mein aah mila kar hamein kya puchhte ho
KHair jis taur hain hum KHak-nashin achchhe hain
dil mein kya KHak jagah dun tere armanon ko
ki makan hai ye KHarab aur makin achchhe hain
mujh ko kahte hain raqibon ki burai sun kar
wo nahin tum se bure balki kahin achchhe hain
but wo kafir hain ki ai 'dagh' KHuda un se bachae
kaun kahta hai ye ghaarat-gar-e-din achchhe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.