Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage

Boom Merathi

jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    jab ḳhizāñ aa.ī chaman meñ sab daġhā dene lage

    tinke uḌā uḌ kar nasheman pata dene lage

    jab mirī gustāḳhiyoñ vo sazā dene lage

    vasl shab lāt-ghūñsa bhī mazā dene lage

    māñjh kar vo dāñtoñ ko jab muskurā dene lage

    chhoTī moTī saiñkaḌoñ bijlī girā dene lage

    qatl karne ke bajā.e ye sazā dene lage

    khod kar gaDDhā mujhe zinda dabā dene lage

    be-tahāsha qabr par kisle bajā dene lage

    merī miTTī ko Thikāne se lagā dene lage

    un ke ik thappaḌ se jab maiñ dam churā kar paḌ gayā

    aise ghabrā.e ki dāman se havā dene lage

    aap to māñgā kareñ the mere marne duā

    ab lagā marne to jiine duā dene lage

    kaisā āshiq aap to mujh ko samajhte haiñ qulī

    har jagah hāthoñ meñ mere bistara dene lage

    ho gayā majbūr maiñ bhī aur dil-e-nākām bhī

    vasl shab jab ḳhudā vāsta dene lage

    kam nahīñ hai torpedo se tire tīr-e-nazar

    chhed kar dil aag siine meñ lagā dene lage

    mahramoñ se aap ke joban uqda khul gayā

    aap uThtī javānī pata dene lage

    'būm' honā chāhiye bazm-e-suḳhan meñ vo kalām

    dost kyā dushman sadā-e-marhabā dene lage

    jab KHizan aai chaman mein sab dagha dene lage

    tinke uDa uD kar nasheman ka pata dene lage

    jab meri gustaKHiyon ki wo saza dene lage

    wasl ki shab lat-ghunsa bhi maza dene lage

    manjh kar wo danton ko jab muskura dene lage

    chhoTi moTi sainkaDon bijli gira dene lage

    qatl karne ke bajae ye saza dene lage

    khod kar gaDDha mujhe zinda daba dene lage

    be-tahasha qabr par kisle baja dene lage

    meri miTTi ko Thikane se laga dene lage

    un ke ek thappaD se jab main dam chura kar paD gaya

    aise ghabrae ki daman se hawa dene lage

    aap to manga karen the mere marne ki dua

    ab laga marne to jine ki dua dene lage

    kaisa aashiq aap to mujh ko samajhte hain quli

    har jagah hathon mein mere bistara dene lage

    ho gaya majbur main bhi aur dil-e-nakaam bhi

    wasl ki shab jab KHuda ka wasta dene lage

    kam nahin hai torpedo se tere tir-e-nazar

    chhed kar dil aag sine mein laga dene lage

    mahramon se aap ke joban ka uqda khul gaya

    aap ki uThti jawani ka pata dene lage

    'bum' hona chahiye bazm-e-suKHan mein wo kalam

    dost kya dushman sada-e-marhaba dene lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now