Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kisi dil mein chah hoti hai

Moulana Asadullah

jab kisi dil mein chah hoti hai

Moulana Asadullah

MORE BYMoulana Asadullah

    jab kisī dil meñ chaah hotī hai

    ruuh ātish-panāh hotī hai

    jis hālat tabāh hotī hai

    us sūrat gavāh hotī hai

    dil meñ jab hubb-e-jāh hotī hai

    dil duniyā tabāh hotī hai

    ruuh jab jalva-gāh hotī hai

    rū-kash-e-mehr-o-māh hotī hai

    ishq-bāzī gunāh hotī hai

    naujavānī tabāh hotī hai

    jis jagah ḳhānqāh hotī hai

    ma.asiyat uzr-ḳhvāh hotī hai

    qahr jab nigāh hotī hai

    merī hālat tabāh hotī hai

    husn jo nigāh hotī hai

    ishq shāhrāh hotī hai

    kaun hotā hai monis-e-shab-e-ġham

    naala hotā hai aah hotī hai

    aaj āmāda-e-karam haiñ vo

    be-gunāhī gunāh hotī hai

    sharh-e-ulfat ke mas.ale haiñ judā

    be-gunāhī gunāh hotī hai

    husn-e-ḳhud-bīñ shoḳhiyāñ tauba

    be-gunāhī gunāh hotī hai

    hijr raat ai ma.āz-allāh

    saarī duniyā tabāh hotī hai

    dil meñ aatā hai kaif sailāb

    lutf jab nigāh hotī hai

    ahd-e-ulfat hai yahī takmīl

    ġhair se rasm-o-rāh hotī hai

    jāgtā hai agar kisī baḳht

    ishq meñ dastgāh hotī hai

    un ke kūche meñ marne vāloñ

    ḳhuld ārām-gāh hotī hai

    dekh le muñh ke pherne vaale

    dil duniyā tabāh hotī hai

    kal qayāmat meñ hogā muñh kaalā

    aaj dāḌhī siyāh hotī hai

    zindagī jis ko log kahte haiñ

    hālat-e-ishtibāh hotī hai

    jis ko gū-gird-e-surḳh kahte haiñ

    vo tirī gard-e-rāh hotī hai

    naaz kartī hai husn fitrat

    āshiqī jab tabāh hotī hai

    lījiye aa.e haiñ vo turbat par

    mahr kab nigāh hotī hai

    jis meñ ho imtiyāz-e-ranj-o-ḳhushī

    aisī ulfat gunāh hotī hai

    jo giraftār-e-ishq hotā hai

    us sūrat gavāh hotī hai

    sabr ko jo na kar de betābī

    vo bhī koī nigāh hotī hai

    vo bhī hotī hai dekhiye badnām

    jo nazar be-gunāh hotī hai

    go bahut duur haiñ tufail magar

    yaad shām-o-pagāh hotī hai

    hijr meñ raushnī bhī ai 'as.ad'

    rashk-e-baḳht-e-siyāh hotī hai

    jab kisi dil mein chah hoti hai

    ruh aatish-panah hoti hai

    jis ki haalat tabah hoti hai

    us ki surat gawah hoti hai

    dil mein jab hubb-e-jah hoti hai

    dil ki duniya tabah hoti hai

    ruh jab jalwa-gah hoti hai

    ru-kash-e-mehr-o-mah hoti hai

    ishq-bazi gunah hoti hai

    naujawani tabah hoti hai

    jis jagah KHanqah hoti hai

    masiyat uzr-KHwah hoti hai

    qahr ki jab nigah hoti hai

    meri haalat tabah hoti hai

    husn ki jo nigah hoti hai

    ishq ki shahrah hoti hai

    kaun hota hai monis-e-shab-e-gham

    nala hota hai aah hoti hai

    aaj aamada-e-karam hain wo

    be-gunahi gunah hoti hai

    sharh-e-ulfat ke masale hain juda

    be-gunahi gunah hoti hai

    husn-e-KHud-bin ki shoKHiyan tauba

    be-gunahi gunah hoti hai

    hijr ki raat ai maaz-allah

    sari duniya tabah hoti hai

    dil mein aata hai kaif ka sailab

    lutf ki jab nigah hoti hai

    ahd-e-ulfat ki hai yahi takmil

    ghair se rasm-o-rah hoti hai

    jagta hai agar kisi ka baKHt

    ishq mein dastgah hoti hai

    un ke kuche mein marne walon ki

    KHuld aaram-gah hoti hai

    dekh le munh ke pherne wale

    dil ki duniya tabah hoti hai

    kal qayamat mein hoga munh kala

    aaj daDhi siyah hoti hai

    zindagi jis ko log kahte hain

    haalat-e-ishtibah hoti hai

    jis ko gu-gird-e-surKH kahte hain

    wo teri gard-e-rah hoti hai

    naz karti hai husn ki fitrat

    aashiqi jab tabah hoti hai

    lijiye aae hain wo turbat par

    mahr ki kab nigah hoti hai

    jis mein ho imtiyaz-e-ranj-o-KHushi

    aisi ulfat gunah hoti hai

    jo giraftar-e-ishq hota hai

    us ki surat gawah hoti hai

    sabr ko jo na kar de betabi

    wo bhi koi nigah hoti hai

    wo bhi hoti hai dekhiye badnam

    jo nazar be-gunah hoti hai

    go bahut dur hain tufail magar

    yaad sham-o-pagah hoti hai

    hijr mein raushni bhi ai 'asad'

    rashk-e-baKHt-e-siyah hoti hai

    Source:

    Kalam-e-Asad (Pg. 44)

    • Author: Moulana Asadullah
      • Publisher: shoba-e-Nashr-o-Ishaat Madarsa Islahul Muslimiin, Basti
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now