Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab kisi se wafa kare koi

Ghamgeen Qureshi

jab kisi se wafa kare koi

Ghamgeen Qureshi

MORE BYGhamgeen Qureshi

    jab kisī se vafā kare koī

    dekh kar kyoñ jalā kare koī

    zindagī kyoñ ho vaqf-e-dair-o-haram

    mai-kade bhī chalā kare koī

    jab ġham-e-zīst se nibāh na ho

    ārzū-e-qazā kare koī

    hijr meñ tere ai parī-paikar

    kab tak aañsū piyā kare koī

    jab añdherā ho chaar 'ġhamgīn'

    dil jalā kar chalā kare koī

    jab kisi se wafa kare koi

    dekh kar kyon jala kare koi

    zindagi kyon ho waqf-e-dair-o-haram

    mai-kade bhi chala kare koi

    jab gham-e-zist se nibah na ho

    aarzu-e-qaza kare koi

    hijr mein tere ai pari-paikar

    kab tak aansu piya kare koi

    jab andhera ho chaar su 'ghamgin'

    dil jala kar chala kare koi

    Source:

    Dard-o-Gham (Pg. 86)

    • Author: Ghamgeen Qureshi
      • Publisher: Mahbob Press, Deoband
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now