raushni jab bhi lab hilati hai
raushnī jab bhī lab hilātī hai
raat chup chaap baiTh jaatī hai
koī āvārgī se kah de ab
ek chaukhaT mujhe bulātī hai
ghup-añdhere kā fā.eda le kar
os phūloñ pe baiTh jaatī hai
kal talak to varaq hī uḌte the
ab havā harf bhī uḌātī hai
jāgte haiñ sabhī shajar 'āzar'
dasht meñ kis ko niiñd aatī hai
raushni jab bhi lab hilati hai
raat chup chap baiTh jati hai
koi aawargi se kah de ab
ek chaukhaT mujhe bulati hai
ghup-andhere ka faeda le kar
os phulon pe baiTh jati hai
kal talak to waraq hi uDte the
ab hawa harf bhi uDati hai
jagte hain sabhi shajar 'azar'
dasht mein kis ko nind aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.