Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab koi zaKHm ubharta hai kinaron jaisa

Dildar Hashmi

jab koi zaKHm ubharta hai kinaron jaisa

Dildar Hashmi

MORE BYDildar Hashmi

    jab koī zaḳhm ubhartā hai kināroñ jaisā

    dil taḌaptā hai mirā mauj ke dhāroñ jaisā

    jab koī aks chamaktā hai sitāroñ jaisā

    merā qad bhī nazar aatā hai mināroñ jaisā

    tere dar pe mujhe aa ke sukūñ miltā hai

    ik sahārā bhī nahīñ tere sahāroñ jaisā

    aaj bhī sab ke diloñ pe hai hukūmat jis

    vo chaTā.ī pe bhī lagtā hai dulāroñ jaisā

    mere dam se mahaktā hai gulistāñ phir bhī

    sab āñkhoñ meñ khaTaktā huuñ maiñ ḳhāroñ jaisā

    ab to sūkhe hue patte nazar aate haiñ

    mere āñgan meñ bahut kuchh thā bahāroñ jaisā

    aa.ina kaun dikhā.egā mujhe ai 'dildār'

    mere dushman bhī bartāv hai yāroñ jaisā

    jab koi zaKHm ubharta hai kinaron jaisa

    dil taDapta hai mera mauj ke dhaaron jaisa

    jab koi aks chamakta hai sitaron jaisa

    mera qad bhi nazar aata hai minaron jaisa

    tere hi dar pe mujhe aa ke sukun milta hai

    ek sahaara bhi nahin tere sahaaron jaisa

    aaj bhi sab ke dilon pe hai hukumat jis ki

    wo chaTai pe bhi lagta hai dularon jaisa

    mere hi dam se mahakta hai gulistan phir bhi

    sab ki aankhon mein khaTakta hun main KHaron jaisa

    ab to sukhe hue patte hi nazar aate hain

    mere aangan mein bahut kuchh tha bahaaron jaisa

    aaina kaun dikhaega mujhe ai 'dildar'

    mere dushman ka bhi bartaw hai yaron jaisa

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 627)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now