Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab manzilon wahm tha na shab ka

Shohrat Bukhari

jab manzilon wahm tha na shab ka

Shohrat Bukhari

MORE BYShohrat Bukhari

    jab manziloñ vahm thā na shab

    maiñ niklā huā huuñ ghar se tab

    jis shahr meñ bas rahe the ham tum

    vo shahr ujaḌ chukā hai kab

    thī pahle ajab judā.ī un

    ab ḳhud se firāq hai ġhazab

    ai mahv-e-tilism-e-roz-e-raushan

    darpesh abhī safar hai shab

    har gul se bhaḌak rahe haiñ sho.ale

    ye ahd magar hai bū-lahab

    tum kaahe ko akaḌ rahe ho tanhā

    'shohrat' ye muāmla hai sab

    jab manzilon wahm tha na shab ka

    main nikla hua hun ghar se tab ka

    jis shahr mein bas rahe the hum tum

    wo shahr ujaD chuka hai kab ka

    thi pahle ajab judai un ki

    ab KHud se firaq hai ghazab ka

    ai mahw-e-tilism-e-roz-e-raushan

    darpesh abhi safar hai shab ka

    har gul se bhaDak rahe hain shoale

    ye ahd magar hai bu-lahab ka

    tum kahe ko akaD rahe ho tanha

    'shohrat' ye muamla hai sab ka

    Source:

    shab-e-aaina (Pg. 55)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now