Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab masnad-e-shuhud pe laya gaya mujhe

Abbas Mumtaz

jab masnad-e-shuhud pe laya gaya mujhe

Abbas Mumtaz

MORE BYAbbas Mumtaz

    jab masnad-e-shuhūd pe laayā gayā mujhe

    pahlā dars-e-ishq paḌhāyā gayā mujhe

    baḳhshā mire vajūd ko hairat zāviya

    phir is ke baad mujh se milāyā gayā mujhe

    phir yuuñ huā ki raushnī maddham paḌ ga.ī

    jab aa.ine ke rū-ba-rū laayā gayā mujhe

    ye ehtimām dekh ke hairat-zada hai aql

    kis husn-e-intizām se laayā gayā mujhe

    jab masnad-e-shuhud pe laya gaya mujhe

    pahla hi dars-e-ishq paDhaya gaya mujhe

    baKHsha mere wajud ko hairat ka zawiya

    phir is ke baad mujh se milaya gaya mujhe

    phir yun hua ki raushni maddham si paD gai

    jab aaine ke ru-ba-ru laya gaya mujhe

    ye ehtimam dekh ke hairat-zada hai aql

    kis husn-e-intizam se laya gaya mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now