Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab na gumbad na sada raqs mein ho

muneer saifi

jab na gumbad na sada raqs mein ho

muneer saifi

MORE BYmuneer saifi

    jab na gumbad na sadā raqs meñ ho

    kyā na ho raqs meñ kyā raqs meñ ho

    aks ho apnī dhamāleñ oḌhe

    aa.ina apnī jagah raqs meñ ho

    tāliyāñ piiT rahe hoñ patte

    aur peḌoñ pe havā raqs meñ ho

    Dūbne vaale hoñ sāhil sāhil

    mauj-dar-mauj ghaḌā raqs meñ ho

    rāt-bhar āyateñ gaate rahiye

    kyā ḳhabar koī duā raqs meñ ho

    kyā ḳhabar raqs meñ ho qibla-e-jāñ

    dam-ba-dam sajda adā raqs meñ ho

    ek darvesh paḌhe jaa.e ġhazal

    ek darvesh sadā raqs meñ ho

    raqs meñ lamha vo kab aatā hai

    paañv sākit hoñ fazā raqs meñ ho

    aag shai ho koī rag rag meñ

    ek ik añg mirā raqs meñ ho

    saayā kab TuuT ke yuuñ nāchtā thā

    aaj mumkin hai diyā raqs meñ ho

    TuuT bhī jā.ūñ patā bhī na chale

    kam se kam itnā nasha raqs meñ ho

    jab na gumbad na sada raqs mein ho

    kya na ho raqs mein kya raqs mein ho

    aks ho apni dhamalen oDhe

    aaina apni jagah raqs mein ho

    taliyan piT rahe hon patte

    aur peDon pe hawa raqs mein ho

    Dubne wale hon sahil sahil

    mauj-dar-mauj ghaDa raqs mein ho

    raat-bhar aayaten gate rahiye

    kya KHabar koi dua raqs mein ho

    kya KHabar raqs mein ho qibla-e-jaan

    dam-ba-dam sajda ada raqs mein ho

    ek darwesh paDhe jae ghazal

    ek darwesh sada raqs mein ho

    raqs mein lamha wo kab aata hai

    panw sakit hon faza raqs mein ho

    aag si shai ho koi rag rag mein

    ek ek ang mera raqs mein ho

    saya kab TuT ke yun nachta tha

    aaj mumkin hai diya raqs mein ho

    TuT bhi jaun pata bhi na chale

    kam se kam itna nasha raqs mein ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now