Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab na tha ishq ye azab na tha

Riyaz Hasan Khan Khayal

jab na tha ishq ye azab na tha

Riyaz Hasan Khan Khayal

MORE BYRiyaz Hasan Khan Khayal

    jab na thā ishq ye azaab na thā

    ātish-e-ġham se dil kabāb na thā

    jin dinoñ ġhair bāryāb na thā

    maiñ vahāñ maurid-e-itāb na thā

    jab ki vo umr the shabāb na thā

    ye naqāb aur ye hijāb na thā

    vo ḳhafā ho ke ho ga.e ḳhāmosh

    mirī baat javāb na thā

    na rahā dil paḌī jo us pe nigāh

    mauj ke aate habāb na thā

    tere jāñ-bāz dilerī vaah

    tah-e-ḳhanjar bhī iztirāb na thā

    ḳhair guzrī jo mohtasib aaya

    sāmne sāġhar-e-sharāb na thā

    soz-e-ġham dūd-e-āh sail-e-sarishk

    hijr meñ kaun azaab na thā

    lab-e-dariyā thā sair ke qābil

    kyā mirā dīda-e-pur-āb na thā

    dil meñ thā valvaloñ josh-o-ḳharosh

    ek tūfān thā shabāb na thā

    aaj kyā nayā hai soz-e-jigar

    kyā kaleja mirā kabāb na thā

    sair ko nikle vo jo ġhair ke saath

    kaun fitna ham-rikāb na thā

    kyā sañbhaltā bigaḌ kar apnā haal

    kuchh zamāne inqalāb na thā

    us mahfil meñ shab ko sab the 'ḳhayāl'

    sirf ik maiñ bāryāb na thā

    jab na tha ishq ye azab na tha

    aatish-e-gham se dil kabab na tha

    jin dinon ghair baryab na tha

    main wahan maurid-e-itab na tha

    jab ki wo umr the shabab na tha

    ye naqab aur ye hijab na tha

    wo KHafa ho ke ho gae KHamosh

    ya meri baat ka jawab na tha

    na raha dil paDi jo us pe nigah

    mauj ke aate hi habab na tha

    tere jaan-baz ki dileri wah

    tah-e-KHanjar bhi iztirab na tha

    KHair guzri jo mohtasib aaya

    samne saghar-e-sharab na tha

    soz-e-gham dud-e-ah sail-e-sarishk

    hijr mein kaun sa azab na tha

    lab-e-dariya tha sair ke qabil

    kya mera dida-e-pur-ab na tha

    dil mein tha walwalon ka josh-o-KHarosh

    ek tufan tha shabab na tha

    aaj hi kya naya hai soz-e-jigar

    kya kaleja mera kabab na tha

    sair ko nikle wo jo ghair ke sath

    kaun sa fitna ham-rikab na tha

    kya sanbhalta bigaD kar apna haal

    kuchh zamane ka inqalab na tha

    us ki mahfil mein shab ko sab the 'KHayal'

    sirf ek main hi baryab na tha

    Source:

    Deewan-e-Riyaz Hasan Khan Khayal Ma Muqadma (Pg. 53)

    • Author: Riyaz Hasan Khan Khayal
      • Publisher: Bazm-e-Sukhan, Sitamarhi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now