Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab nazar ja na sake hadd-e-nazar se aage

Rahman Khawar

jab nazar ja na sake hadd-e-nazar se aage

Rahman Khawar

MORE BYRahman Khawar

    jab nazar na sake hadd-e-nazar se aage

    kaun soche ki hai kuchh aur bhī ghar se aage

    manzil-e-ishq meñ ham ko koī aisā na milā

    jis manzil ho tirī rāhguzar se aage

    jab talak saa.e meñ baiThe ho ġhanīmat jaano

    duur tak dhuup sahrā hai shajar se aage

    jo tire dar se uThe haiñ unheñ ma.alūm kahāñ

    kūcha-e-dar-ba-darī hai tire dar se aage

    manzileñ muntazir-e-chashm-e-tamāshā raheñ

    qāfile na sake gard-e-safar se aage

    'ḳhāvar' is shahr meñ ham ahl-e-hunar par ye khulā

    ek shai be-hunarī bhī hai hunar se aage

    jab nazar ja na sake hadd-e-nazar se aage

    kaun soche ki hai kuchh aur bhi ghar se aage

    manzil-e-ishq mein hum ko koi aisa na mila

    jis ki manzil ho teri rahguzar se aage

    jab talak sae mein baiThe ho ghanimat jaano

    dur tak dhup ka sahra hai shajar se aage

    jo tere dar se uThe hain unhen malum kahan

    kucha-e-dar-ba-dari hai tere dar se aage

    manzilen muntazir-e-chashm-e-tamasha hi rahen

    qafile ja na sake gard-e-safar se aage

    'KHawar' is shahr mein hum ahl-e-hunar par ye khula

    ek shai be-hunari bhi hai hunar se aage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now