jab nikle rae-shumari ko
jab nikle rā.e-shumārī ko
to Thes lagī ḳhuddārī ko
ham vo nādāñ haiñ jin se kabhī
ḳhatra thā tirī hushyārī ko
ab kis se kaheñ in galiyoñ meñ
aa.e the vaqt-guzārī ko
kyā sach kī majāl ki rad kar de
ik jhūTh kī dā’ve-dārī ko
ye suiT ye tie ḳhair to hai
kyā samjheñ is tayyārī ko
jab nikle rae-shumari ko
to Thes lagi KHuddari ko
hum wo nadan hain jin se kabhi
KHatra tha teri hushyari ko
ab kis se kahen in galiyon mein
aae the waqt-guzari ko
kya sach ki majal ki rad kar de
ek jhuTh ki da’we-dari ko
ye suiT ye tie KHair to hai
kya samjhen is tayyari ko
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 106)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.