Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab phul chubhe dil mein tab Khaar ko kya kahiye

Sarosh Lucknowi

jab phul chubhe dil mein tab Khaar ko kya kahiye

Sarosh Lucknowi

MORE BYSarosh Lucknowi

    jab phuul chubhe dil meñ tab ḳhaar ko kyā kahiye

    marham ne kiyā zaḳhmī talvār ko kyā kahiye

    hamdard nigāhoñ ne dil aur bhī taḌpāyā

    darmāñ ne ġhazab Dhāyā āzār ko kyā kahiye

    iz.hār-e-tamannā par mub.ham nigāhoñ ke

    iqrār ko kyā kahiye inkār ko kyā kahiye

    aalam jo tirā dekhā nāseh bhī huā shaidā

    dīvāna to dīvāna hushiyār ko kyā kahiye

    tadbīr hai dushman taqdīr barham-zan

    is dard-e-mohabbat ke āzār ko kyā kahiye

    is fitna-e-daurāñ jo baat hai aafat hai

    raftār ko kyā kahiye guftār ko kyā kahiye

    un shoḳh nigāhoñ har vaar qayāmat hai

    is vaar ko kyā kahiye us vaar ko kyā kahiye

    ghanghor ghaTāoñ unvān-e-karam tauba

    zāhid bhī bahaktā hai mai-ḳhvār ko kyā kahiye

    maḳhmūr nigāhoñ allāh re mai-rezī

    hushiyār bhī hai be-ḳhud sarshār ko kyā kahiye

    āzār-e-mohabbat duniyā hai ajab duniyā

    achchhā bhī nahīñ achchhā bīmār ko kyā kahiye

    dil chhīn ke ġham baḳhshā sar le ke diyā saudā

    is husn-o-mohabbat sarkār ko kyā kahiye

    har rāz-e-nihāñ āḳhir ġhammāz se kah Daalā

    ḳhāmosh nigāhoñ guftār ko kyā kahiye

    tā-mai-kada rindoñ meñ jo dast-ba-dast aa.e

    us jubbe ko kyā kahiye dastār ko kyā kahiye

    duniyā nazar meñ tum ma.asūm sahī lekin

    paimān-e-mohabbat se inkār ko kyā kahiye

    hai us javānī par ḳhud vajd javānī ko

    mai aap bahaktī hai mai-ḳhvār ko kyā kahiye

    in ishva-tarāzoñ un mast-ḳhirāmoñ

    ruknā bhī qayāmat hai raftār ko kyā kahiye

    tauba bharam rakhnā īmāñ thā 'sarosh' apnā

    saaqī nigāhoñ ke isrār ko kyā kahiye

    jab phul chubhe dil mein tab KHar ko kya kahiye

    marham ne kiya zaKHmi talwar ko kya kahiye

    hamdard nigahon ne dil aur bhi taDpaya

    darman ne ghazab Dhaya aazar ko kya kahiye

    izhaar-e-tamanna par mubham si nigahon ke

    iqrar ko kya kahiye inkar ko kya kahiye

    aalam jo tera dekha naseh bhi hua shaida

    diwana to diwana hushiyar ko kya kahiye

    tadbir ka hai dushman taqdir ka barham-zan

    is dard-e-mohabbat ke aazar ko kya kahiye

    is fitna-e-dauran ki jo baat hai aafat hai

    raftar ko kya kahiye guftar ko kya kahiye

    un shoKH nigahon ka har war qayamat hai

    is war ko kya kahiye us war ko kya kahiye

    ghanghor ghaTaon ka unwan-e-karam tauba

    zahid bhi bahakta hai mai-KHwar ko kya kahiye

    maKHmur nigahon ki allah re mai-rezi

    hushiyar bhi hai be-KHud sarshaar ko kya kahiye

    aazar-e-mohabbat ki duniya hai ajab duniya

    achchha bhi nahin achchha bimar ko kya kahiye

    dil chhin ke gham baKHsha sar le ke diya sauda

    is husn-o-mohabbat ki sarkar ko kya kahiye

    har raaz-e-nihan aaKHir ghammaz se kah Dala

    KHamosh nigahon ki guftar ko kya kahiye

    ta-mai-kada rindon mein jo dast-ba-dast aae

    us jubbe ko kya kahiye dastar ko kya kahiye

    duniya ki nazar mein tum masum sahi lekin

    paiman-e-mohabbat se inkar ko kya kahiye

    hai us ki jawani par KHud wajd jawani ko

    mai aap bahakti hai mai-KHwar ko kya kahiye

    in ishwa-taraazon ka un mast-KHiramon ka

    rukna bhi qayamat hai raftar ko kya kahiye

    tauba ka bharam rakhna iman tha 'sarosh' apna

    saqi ki nigahon ke israr ko kya kahiye

    Source:

    Nawa-e-Sarosh (Pg. 353)

    • Author: Sarosh Lucknowi
      • Publisher: Masood Rudauli
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now