Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab qafila yaadon ka guzra to faza mahki

Shakeel Gwaliari

jab qafila yaadon ka guzra to faza mahki

Shakeel Gwaliari

MORE BYShakeel Gwaliari

    jab qāfila yādoñ guzrā to fazā mahkī

    mahsūs huā tere qadmoñ sadā mahkī

    ḳhvāboñ meñ liye ham ne bose tire bāloñ ke

    jab hijr rātoñ meñ sāvan ghaTā mahkī

    māñgī jo duā ham ne us shoḳh se milne

    lobān ḳhushbū se baḌh kar vo duā mahkī

    ik narm se jhoñke nāzuk sharārat se

    kyā kyā na huī rusvā Daalī jo zarā mahkī

    dīvāna huuñ āshiq huuñ āvāra huuñ mai-kash huuñ

    ilzām ka.ī aa.e jab laġhzish-e-pā mahkī

    jab qafila yaadon ka guzra to faza mahki

    mahsus hua tere qadmon ki sada mahki

    KHwabon mein liye hum ne bose tere baalon ke

    jab hijr ki raaton mein sawan ki ghaTa mahki

    mangi jo dua hum ne us shoKH se milne ki

    loban ki KHushbu se baDh kar wo dua mahki

    ek narm se jhonke ki nazuk si shararat se

    kya kya na hui ruswa Dali jo zara mahki

    diwana hun aashiq hun aawara hun mai-kash hun

    ilzam kai aae jab laghzish-e-pa mahki

    Source:

    Tarkash (Pg. 17)

    • Author: Shakeel Gwaliory
      • Edition: 1986
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now