Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab riha ho jaunga main ranj-o-gham ke dam se

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

jab riha ho jaunga main ranj-o-gham ke dam se

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

    jab rihā ho jā.ūñgā maiñ ranj-o-ġham ke daam se

    tab kahūñgā ab guzartī hai baḌe ārām se

    phirte-phirte thak ga.e ham saath kab tak us deñ

    ab to ghabrā chalā hai gardish-e-ayyām se

    fikr-e-duniyā ik taraf hai fikr-e-uqbā ik taraf

    kis tarah guzregī yā-rab apnī ab ārām se

    hai alāmat ye bhī ik merī shikast-e-tauba

    mai pilātā hai jo saaqī mujh ko TuuTe jaam se

    umr apnī sarf kar zulf-o-ruḳh ke dhyān meñ

    kaam kyā is jahāñ ke ham ko sub.h-o-shām se

    ḳhvāb ho gar silsila jaarī rakheñ tahrīr

    kuchh tashaffī hotī hai is nāma-o-paiġhām se

    rāt-din ranj-o-masā.ib hai ab to sāmnā

    ik zamāna thā guzartī thī bahut ārām se

    ek din vo thā ki chain aatā na thā mere baġhair

    aaj vo barham hue jaate haiñ mere naam se

    saḳhtiyoñ se rāt-din ham ko nahīñ miltī najāt

    log kahte haiñ guzartī hai baḌe ārām se

    tum usī ko sidq-e-dil se rāt-din japte raho

    mushkileñ hotī haiñ āsāñ bas usī ke naam se

    ġham na khānā ranj ke hai baa'd rāhat bhī zarūr

    sabr karnā 'shād' guzregī bahut ārām se

    jab riha ho jaunga main ranj-o-gham ke dam se

    tab kahunga ab guzarti hai baDe aaram se

    phirte-phirte thak gae hum sath kab tak us ka den

    ab to ji ghabra chala hai gardish-e-ayyam se

    fikr-e-duniya ek taraf hai fikr-e-uqba ek taraf

    kis tarah guzregi ya-rab apni ab aaram se

    hai alamat ye bhi ek meri shikast-e-tauba ki

    mai pilata hai jo saqi mujh ko TuTe jam se

    umr apni sarf kar di zulf-o-ruKH ke dhyan mein

    kaam hi kya is jahan ke hum ko subh-o-sham se

    KHwab ho gar silsila jari rakhen tahrir ka

    kuchh tashaffi hoti hai is nama-o-paigham se

    raat-din ranj-o-masaib ka hai ab to samna

    ek zamana tha guzarti thi bahut aaram se

    ek din wo tha ki chain aata na tha mere baghair

    aaj wo barham hue jate hain mere nam se

    saKHtiyon se raat-din hum ko nahin milti najat

    log kahte hain guzarti hai baDe aaram se

    tum usi ko sidq-e-dil se raat-din japte raho

    mushkilen hoti hain aasan bas usi ke nam se

    gham na khana ranj ke hai ba'd rahat bhi zarur

    sabr karna 'shad' guzregi bahut aaram se

    Source:

    (Pg. 67)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now