Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se bana liya tujhe parwardigar yar

Ali Ejaz Tamimi

jab se bana liya tujhe parwardigar yar

Ali Ejaz Tamimi

MORE BYAli Ejaz Tamimi

    jab se banā liyā tujhe parvardigār yaar

    aatī hai har taraf se sadā yaar yaar yaar

    ye hijr ye firāq haiñ qisse kahāniyāñ

    jaane kahāñ ga.e haiñ sabhī duur paar yaar

    ham ko chhoḌ-chhāḌ ke arshoñ pe basā

    ham ab bhī kar rahe haiñ tirā intizār yaar

    vo husn-e-be-misāl nazar aa gayā mujhe

    dekhā basāratoñ se pare baar baar yaar

    vo dhaḌkanoñ oT meñ kartā hai guftugū

    mujh meñ basā huā hai mire ār-pār yaar

    dāman ko taar kar ke koī qais ho gayā

    merī taraf bhī dekh badan tār-tār yaar

    jo ahlyān-e-ishq the jaane kidhar ga.e

    ab to bache haiñ jhuuT ke qaul-o-qarār yaar

    ai yaar dekh sūrateñ vīrān ho ga.iiñ

    marne pe aa ga.e haiñ tire sogvār yaar

    yārān-e-dardmand ne ḳhushiyoñ sadā

    dekhā gayā na un se koī ashk-bār yaar

    'e.ajāz' vo judā to huā thā gayā nahīñ

    maiñ roz mar rahā huuñ magar qist-vār yaar

    jab se bana liya tujhe parwardigar yar

    aati hai har taraf se sada yar yar yar

    ye hijr ye firaq hain qisse kahaniyan

    jaane kahan gae hain sabhi dur par yar

    tu hum ko chhoD-chhaD ke arshon pe ja basa

    hum ab bhi kar rahe hain tera intizar yar

    wo husn-e-be-misal nazar aa gaya mujhe

    dekha basaraton se pare bar bar yar

    wo dhaDkanon ki oT mein karta hai guftugu

    mujh mein basa hua hai mere aar-par yar

    daman ko tar kar ke koi qais ho gaya

    meri taraf bhi dekh badan tar-tar yar

    jo ahlyan-e-ishq the jaane kidhar gae

    ab to bache hain jhuT ke qaul-o-qarar yar

    ai yar dekh suraten viran ho gain

    marne pe aa gae hain tere sogwar yar

    yaran-e-dardmand ne KHushiyon ki di sada

    dekha gaya na un se koi ashk-bar yar

    'eajaz' wo juda to hua tha gaya nahin

    main roz mar raha hun magar qist-war yar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now