Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se kisi se dard ka rishta nahin raha

darvesh bharti

jab se kisi se dard ka rishta nahin raha

darvesh bharti

MORE BYdarvesh bharti

    jab se kisī se dard rishta nahīñ rahā

    jiinā hamārā tab se jiinā nahīñ rahā

    tere ḳhayāl-o-ḳhvāb rahte haiñ ās-pās

    tanhā.ī meñ bhī maiñ kabhī tanhā nahīñ rahā

    aañsū bahe haiñ itne kisī ke firāq meñ

    āñkhoñ meñ ik bhī vasl sapnā nahīñ rahā

    darpesh aa rahe haiñ vo hālāt āj-kal

    apnoñ ko apnoñ par bharosa nahīñ rahā

    nafrat zahr phailā hai lekin kisī meñ aaj

    mil baiTh sochne bhī jazba nahīñ rahā

    dār-o-madār-e-zindagī jis par thā vo bhī to

    jaisā samajhte the use vaisā nahīñ rahā

    ye nasl-e-nau hai itnī mohazzab ki is meñ aaj

    'darvesh' guftugū salīqa nahīñ rahā

    jab se kisi se dard ka rishta nahin raha

    jina hamara tab se hi jina nahin raha

    tere KHayal-o-KHwab hi rahte hain aas-pas

    tanhai mein bhi main kabhi tanha nahin raha

    aansu bahe hain itne kisi ke firaq mein

    aankhon mein ek bhi wasl ka sapna nahin raha

    darpesh aa rahe hain wo haalat aaj-kal

    apnon ko apnon par hi bharosa nahin raha

    nafrat ka zahr phaila hai lekin kisi mein aaj

    mil baiTh sochne ka bhi jazba nahin raha

    dar-o-madar-e-zindagi jis par tha wo bhi to

    jaisa samajhte the use waisa nahin raha

    ye nasl-e-nau hai itni mohazzab ki is mein aaj

    'darwesh' guftugu ka saliqa nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now