Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se koi mera ham-safar ho gaya

Rizwan Ali

jab se koi mera ham-safar ho gaya

Rizwan Ali

MORE BYRizwan Ali

    jab se koī mirā ham-safar ho gayā

    zindagī safar mo'tabar ho gayā

    mo'tabar ho ke nā-mo'tabar ho gayā

    kis chāhat meñ maiñ dar-ba-dar ho gayā

    tum ne aane zahmat gavārā jo

    misl firdaus ke merā ghar ho gayā

    mushkileñ jis qadar rāstoñ baḌhīñ

    aur āsāñ hamārā safar ho gayā

    jis pe bhī ho gayā us nazar karam

    apnī zaat se be-ḳhabar ho gayā

    mujh ko dekhā hai us ne kis andāz se

    dil meñ paivast tīr-e-nazar ho gayā

    qāfile har ik fard hai muntashir

    ġham na jaane kahāñ rāhbar ho gayā

    jab se ‘rizvāñ’ huā sāhab-e-sīm-o-zar

    us jo 'aib thā vo hunar ho gayā

    jab se koi mera ham-safar ho gaya

    zindagi ka safar mo'tabar ho gaya

    mo'tabar ho ke na-mo'tabar ho gaya

    kis ki chahat mein main dar-ba-dar ho gaya

    tum ne aane ki zahmat gawara jo ki

    misl firdaus ke mera ghar ho gaya

    mushkilen jis qadar raston ki baDhin

    aur aasan hamara safar ho gaya

    jis pe bhi ho gaya us nazar ka karam

    apni hi zat se be-KHabar ho gaya

    mujh ko dekha hai us ne kis andaz se

    dil mein paiwast tir-e-nazar ho gaya

    qafile ka har ek fard hai muntashir

    gham na jaane kahan rahbar ho gaya

    jab se ‘rizwan’ hua sahab-e-sim-o-zar

    us ka jo 'aib tha wo hunar ho gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now