Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab se mere bagh mein angur ke dane lage

Jameel Usman

jab se mere bagh mein angur ke dane lage

Jameel Usman

MORE BYJameel Usman

    jab se mere baaġh meñ añgūr ke daane lage

    mujh ko duniyā meñ jannat ke maze aane lage

    mai-kashoñ ne nahīñ DhūñDā mire ghar pata

    shaiḳh sāhab bhī mujhe ab yaad farmāne lage

    ik surūr-o-kaif aalam hai taarī bin piye

    pyāle saade paanī ke bhī mai ke paimāne lage

    jagmagā uTThe haiñ atrāf-o-javānib meñ diye

    sham-e-mahfil pazīrā.ī meñ parvāne lage

    mah-ruḳhoñ bazm meñ shirkat nazar aane lagī

    aur tasavvur meñ dhanak ke rañg lahrāne lage

    tā.eroñ chahchahāhaT se huā yuuñ dil gudāz

    mere ham-mashrab mujhe naġhmoñ pe uksāne lage

    ham pe ik mas.hūr-kun kaifiyat taarī huī

    aur ham is kaifiyat meñ jhuum kar gaane lage

    is tilism-e-rañg-o-bū ke sehr se nikle haiñ jab

    ham ko aksar din meñ bhī taare nazar aane lage

    jab se mere bagh mein angur ke dane lage

    mujh ko duniya mein hi jannat ke maze aane lage

    mai-kashon ne hi nahin DhunDa mere ghar ka pata

    shaiKH sahab bhi mujhe ab yaad farmane lage

    ek surur-o-kaif ka aalam hai tari bin piye

    pyale sade pani ke bhi mai ke paimane lage

    jagmaga uTThe hain atraf-o-jawanib mein diye

    sham-e-mahfil ki pazirai mein parwane lage

    mah-ruKHon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi

    aur tasawwur mein dhanak ke rang lahrane lage

    taeron ki chahchahahaT se hua yun dil gudaz

    mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksane lage

    hum pe ek mashur-kun si kaifiyat tari hui

    aur hum is kaifiyat mein jhum kar gane lage

    is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab

    hum ko aksar din mein bhi tare nazar aane lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now