Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila

Shamim Jaipuri

jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila

Shamim Jaipuri

MORE BYShamim Jaipuri

    jab shikāyat thī ki tūfāñ meñ sahārā na milā

    ab kināre pe bhī aa.e to kinārā na milā

    be-sahāroñ ko kahīñ koī sahārā na milā

    koī tūfāñ na milā koī kinārā na milā

    haath uTThe nahīñ sāġhar o miinā taraf

    ham ko jab tak tirī āñkhoñ ishārā na milā

    chal na saktā thā kabhī ahl-e-havas jaadū

    tujh ko ai dost koī ishq maarā na milā

    jis ne dekhā hameñ dushman nazar se dekhā

    terī mahfil meñ koī dost hamārā na milā

    maut behtar hai 'shamīm' us ke liye jiine se

    jis ko jiine ke liye koī sahārā na milā

    jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila

    ab kinare pe bhi aae to kinara na mila

    be-sahaaron ko kahin koi sahaara na mila

    koi tufan na mila koi kinara na mila

    hath uTThe hi nahin saghar o mina ki taraf

    hum ko jab tak teri aankhon ka ishaara na mila

    chal na sakta tha kabhi ahl-e-hawas ka jadu

    tujh ko ai dost koi ishq ka mara na mila

    jis ne dekha hamein dushman ki nazar se dekha

    teri mahfil mein koi dost hamara na mila

    maut behtar hai 'shamim' us ke liye jine se

    jis ko jine ke liye koi sahaara na mila

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now