Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tak bulandiyon pe adab se khaDi rahi

Manju Kachhawa Ana

jab tak bulandiyon pe adab se khaDi rahi

Manju Kachhawa Ana

MORE BYManju Kachhawa Ana

    jab tak bulandiyoñ pe adab se khaḌī rahī

    ye kāmrānī sab nazar meñ baḌī rahī

    vahshat meñ vo sadā.eñ to detā rahā mujhe

    maiñ ḳhaak thī to ḳhaak meñ bas paḌī rahī

    dilkash mujhe banāyā musavvir ne jaane kyoñ

    jo bandishoñ ke frame meñ har dam jaḌī rahī

    us ne kahā ki jism ke through ruuh hai raah

    maiñ bypass road zid par aḌī rahī

    yuuñ to kalā.ī par hai sabhī ke ghaḌī magar

    bas maiñ kahāñ kisī ke koī bhī ghaḌī rahī

    maiñ mom badan liye chaltī rahī 'anā'

    aur dhuup mere sar pe hamesha kaḌī rahī

    jab tak bulandiyon pe adab se khaDi rahi

    ye kaamrani sab ki nazar mein baDi rahi

    wahshat mein wo sadaen to deta raha mujhe

    main KHak thi to KHak mein hi bas paDi rahi

    dilkash mujhe banaya musawwir ne jaane kyon

    jo bandishon ke frame mein har dam jaDi rahi

    us ne kaha ki jism ke through ruh ki hai rah

    main bypass road ki zid par aDi rahi

    yun to kalai par hai sabhi ke ghaDi magar

    bas main kahan kisi ke koi bhi ghaDi rahi

    main mom ka badan liye chalti rahi 'ana'

    aur dhup mere sar pe hamesha kaDi rahi

    Source:

    Word File Mail By Salim Saleem

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now