aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti

Hafeez Jaunpuri

jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    jab tak ki tabī.at se tabī.at nahīñ miltī

    hoñ pyaar bāteñ bhī to lazzat nahīñ miltī

    ārām ghaḌī-bhar kisī karvaT nahīñ miltā

    rāhat kisī pahlū shab-e-furqat nahīñ miltī

    jab tak vo khiñche baiThe haiñ dil un se rukā hai

    jab tak nahīñ milte vo tabī.at nahīñ miltī

    jiite haiñ to hotī hai un āñkhoñ se nadāmat

    marte haiñ to us lab se ijāzat nahīñ miltī

    us zohd par nāzāñ na ho zāhid se ye kah do

    tasbīh phirāne se jannat nahīñ miltī

    kyā DhūñDhte haiñ gor-e-ġharībāñ meñ vo aa kar

    kis Kushta-e-raftār turbat nahīñ miltī

    kis tarah mire ghar vo 'hafīz' aa.eñ ki un ko

    ġhairoñ mudārāt se fursat nahīñ miltī

    jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti

    hon pyar ki baaten bhi to lazzat nahin milti

    aaram ghaDi-bhar kisi karwaT nahin milta

    rahat kisi pahlu shab-e-furqat nahin milti

    jab tak wo khinche baiThe hain dil un se ruka hai

    jab tak nahin milte wo tabiat nahin milti

    jite hain to hoti hai un aankhon se nadamat

    marte hain to us lab se ijazat nahin milti

    us zohd par nazan na ho zahid se ye kah do

    tasbih phirane hi se jannat nahin milti

    kya DhunDhte hain gor-e-ghariban mein wo aa kar

    kis Kushta-e-raftar ki turbat nahin milti

    kis tarah mere ghar wo 'hafiz' aaen ki un ko

    ghairon ki mudaraat se fursat nahin milti

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-236 Page Number-207)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now